\"Writing.Com
*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://writing.com/main/view_item/item_id/1832558-Paigham-e-Haqiqat
Item Icon
\"Reading Printer Friendly Page Tell A Friend
No ratings.
Rated: E · Poetry · Inspirational · #1832558
The message of your innerself to the "power of time" not to underestimate the willpower...
AEY WAQT...



Mein teri duniya ki un oonchaiyo ki udan hun;

jahan tak tere khyalo ne nazren bhi nhe uthayi hein....

mein haari nahi .. zara khamosh hun;

intezaar hai mujhe...tere mujh tak pahunch jane ka...

Ki suna hai .. "takkar saath walo mein hua kerti hai.."..!!



Mujhe shiddat se tujh per aitbaar hai..;

kisi ek se nahi...tere har waar se mujhe pyaar hai...

mere barso ka fasana koi kaam toh aaye..;

jo tere kisi kone mein darr ho mere aane ka...

ki wafa hai hi kya … bharose ka dusra naam hai !!!



Mein har shaam shamma se tujhe batiyati hu ..;

teri fitrat ..teri akad ki kathayen sunati hun..

mein tere naam se anjaan sahi...teri pehchan se waakif hun;

mujhe jaldhaar na samajh.. mein tezdhar baarish hun…

ki baarish mein naam toh kya..hastiyaan mit jaaya kerti hein..!!!



mein thami hui si…zara maddham hun abhi…..

kuch majbooriyan iraado ko ghere hue hein aaj..

per bada khoob kaha hai .. ki raat andher nahi…

ek paigaam hai subah ke aane ka..

ki teri badliyan hamesha zinda nhe rehti ….!!!



Tujhe “Waqt” kehte hein ye kehne waale..;

tujhse aksar haarke..bahane banaya kerte hein…

Per teri khudi se ghabrana ab aata nhe mujhe..

Teri kamzorion ki nabz yun pehchan chuki hun mein…

Ki tujhse baal baal jeetne ka maza hi kuchh aur hai…!!!!



Abhi toh kuchh behki  si …madhosh hun mein….

Per tere garajne per mujhe hansi aati hai….

Jab dekhega tu meri oonchaiyon ka nazara…

Toh pehchaan hogi tujhe mere achal wajood ki …..

Ki mein bolu kya jo meri jeet ki roshni tujhe door se dikhayi degi….!!!!!!
© Copyright 2011 Shail_ja (shailja.mudgal at Writing.Com). All rights reserved.
Writing.Com, its affiliates and syndicates have been granted non-exclusive rights to display this work.
Printed from https://writing.com/main/view_item/item_id/1832558-Paigham-e-Haqiqat