\"Writing.Com
*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1747348-hindi-poem
Item Icon
by videsh Author IconMail Icon
Rated: E · Other · Emotional · #1747348
this item is an emotional one.it is a hindi poem,
Sine mein pyar ki jo shama tumne jalani chahi hai,

Waqt ne woh shama jane kabki bujha di hai,

Jin tanhaiyon se mujhe tumne bachana chaha hai,

Kismat ke karishme hain,

Unhin tanhaiyon mein mujhe umra apni bitani hai,

Dekho na najar bharke mujhe,

Kahin inka mohtaz na ban jaun,

Meri nigahon mein to door talak virani hai,

Mujhe pyar sikhane ki gustakhi na kar zalim,i

Berukhi ne dil ke har kone mein ek diwar bana di hai,

Is rangin jamane mein pyar ki jo tashvir chahi tumne banani hai,

Tere usi zamane ne meri har tashvir mitadi hai,

Zanziren bahut samajon ki paon mein mere hain,

Bandho mujhe pyarke dhagon mein ab itni jagah na baki hai,

Sath mere chalne ki hasrat jo tumne pali hai,

Tumhen itna to bata dun main,

Mere liye aisi har hasrat bemani hai,

Main janta hun teri chahat mere khwabon ko sajana hai,

Mere dil ka bag jo sukha hai use fir se mahkana hai,

Magar bada zalim,bada sitamgar waqt hamara hai,

Tuta hua hai dil ka paimana,

Nasib ne khwabon ki har lash gira di hai,

Aaj main itna khud mein uljha hun,

Tujhe chain se sochun main,

Meri soch na mujhse razi hai,

Sine mein pyar ki jo shama tumne jalani chahi hai,

Waqt ne woh shama jane kabki bujha di hai,
© Copyright 2011 videsh (vidkum20 at Writing.Com). All rights reserved.
Writing.Com, its affiliates and syndicates have been granted non-exclusive rights to display this work.
Printed from https://www.writing.com/main/view_item/item_id/1747348-hindi-poem