a note about my aunty. She is now no more. She is like my mother. This note is roman urdu. |
Aik nai kahin ki ibtida karta hon. Jo meri khala se sharo hoti he. Aur khalaen to maa ki tarh hoti hen na? Aik thandi aah bhar kar main sar jhoka deta hon meri aankh main pani jhilmilata he. Aur fir kisi bachche ki tarh gal par lurkne lagta he. Abi ki to bat he ke main ne khala ko meri shadi ke khowab dekhte dekha tha. Kehti thi ke main tumari shadi main geet gaon gi. Aur fir boht si baten kiya karti thi. Aur meri shadi bi to usi ki waja se ho rahi thi. Khala ne boht piyar se mere rishte ke liye mahnat ki thi. Fir jb rishta tay howa to khala kuchh dino main bimar ho gai. Meri kano main aaj tak meri behn ka wo jumla gonjhta he jb main khala se milne gaya tha. Khala bister par thi. Behn ne kaha tha ''dekho phopho! Jawed aaya he. Tum utho es ki shadi main geet nahin gao gi?'' Meri aankhon ne dekha tha ke khala ne halke se apna sar hilaya tha. Jese keh rahi ho ke ''han main gaon gi'' Mgr sirf 4 mahine ruki aur fir aakhri safar par chali gai. Jese janat chali gai ho. Jese achanak hi khole maidan main chalne wali hawa band ho gai ho. Mere Qadir bhai ka chehra roshan hogaya esa laga jese us ki farishton se dosti ho. Qadir bhai meri khala ka aklota beta... Aaj jb ke meri shadi boht qarib he to mujhe meri khala boht yad aa rahi he. Mujhe pata he. Es shadi main khala nahin hongi. Boht chahne ke bad bi hum aankh ke pani ko nahin rok sakte. Salam meri khala |