jab
yaad mujhe tum aaoge
ye haqeekat hai
us pal dil udaas ho jayega
wo pal
yaad aayenge
jab maine tumhen pahli baar dekha tha
aur
dil se ye sadaa aayee thi
Kaash !
tum apne kuchh pal
mere naam kar dete
mujhse dosti karke
Zindagi !
safal kar dete,
yahi sochte-sochte
kaafi waqt guzar gya
Magar...
main tumse
dil ki baat na kah saka
ab
jabki ! tum chale jaoge
dil ye kahta hai
tumse kah dun ki
mere dil men
tumhaare liye
aisi paak aur belos
moohabbat hai
jo
Zindagi ke aakhri dam tak
khatm nahi hogi,
tumhari yaadon ke deep se
mere dil ki duniyaa
hamesha raushan rahegi,
shayad meri baaton se
tum khafa ho jaoge
magar main kya karun
apne dil ke haathon mazboor hun,
ab tumse
itni iltaza hai
tumhare dil men,mere liye
agar thodi si moohabbat ho
ek pal ko bhi
mujhe socha ho
to
bhule se kabhi-kabhi
apne labe-naazuk se
le lena mera naam
likhna kabhi-kabhi
koi khat mere naam,
agar!
meri baaton se
pahunche tumhare dil ko takleef
to
muaaf kar dena mujhe
ai...
mere azeez Dost
Kyonki !
MAIN SHAYER BADNAAM....................
This item is currently blank.
Printed from https://www.writing.com/main/campfires/item_id/1534834-main-shayar-badnaam
All Writing.Com images are copyrighted and may not be copied / modified in any way. All other brand names & trademarks are owned by their respective companies.
Generated in 0.06 seconds at 4:34am on Jan 13, 2025 via server WEBX1.