Hindi poems in Hindi script, mainly ghazals, Serial no. 1-700 |
१०१. APNE SE LAGTE HO, 15 March 2004 Hue tum gair ke phir bhi mere apne se lagte ho Kisii pyaare hasiin tuute hue sapne se lagte ho kabhii tanhaaii mein yadon ka ek hazuum aataa hai mere khyaalon ki baahon mein mujhe kasne se lagte ho Kabhii raaton ko jab aankhon se merii ashq bahte hain Merii haalat pe tum shaayad kahiin hansne se lagte ho arsaa ho gayaa ujde hue wo pyaar kii duniyaa magar phir bhi tasavvur mein mere basne se lagte ho bahut koshish bhulaane kii tumhein kii hai Khalish lekin kisii kone mein dil ke phir kahiin sajne se lagte ho. MC Gupta 15 March 2004 १०२. HAR WAQT MERE DIL MEIN TUM AISE SAMAAYE HO, 15 March 2004 Har waqt mere dil mein tum aise samaaye ho Har raat ko chupke se mere khwaab mein aaye ho Tum paas nahiin mere phir bhi yuun lagtaa hai Duniyaa pe mere dil kii tum hii tum chhaaye ho Goyaa ki huii muddat tum ko munh mode hue Kaise kah duun tum ab is dil se paraaye ho Jab jab mujh ko aa kar tanhaaii ne gheraa hai Yaadon ke jharokhe mein aa kar muskaaye ho Aa jaao Khalish pal bhar suurat to dikhaa jaao Mushkil hai yakiin karnaa faqt ab ek saaye ho. MC Gupta 15 March 2004 १०३. AAYEINGE WO KHUD KO SAMJHAATAA RAHAA, 17March 2004 Aayeinge wo khud ko samjhaataa rahaa Dil ko main jhuuth hii bahlaataa rahaa Jaane waale phir nahiin aate kabhii Is hakiikat se main katraataa rahaa Asliyat se munh chhupaane ke liye Main tasavvur mein unhein laata rahaa Un kii suurat dekh kar un ke diye Zakhm tanhaaii mein sahlaataa rahaa Kyon mile mujh se agar jaanaa hii thaa Baarhaa dil mein sawaal aataa rahaa Ab to khwaabon mein bhi kam aate hain wo Ye sahaaraa bhi Khalish jaata rahaa. MC Gupta 17 March 2004 १०४. CHAAH NAHIIN HAI, 17 March 2004 Jiitaa huun jiine kii mujhe ab chaah nahiin hai Jiine ke siwaa aur mujhe raah nahiin hai Hain zindgii mein gam magar ham fikr kyon karein Gam ko uthaane ke siwaa nibaah nahiin hai Haasil gawaane se bhalaa kyaa jaan ko hogaa Duniyaa ko merii jaan kii parwaah nahiin hai Ham katl ho ke bhi bane un ke kasuurwaar Koii hamaaraa shahar mein gawaah nahiin hai Kyaa kiije doston ka Khalish aaj aitbaar Gardish mein un kii nek ab salaah nahiin hai. MC Gupta 17 March 2004 १०५. MERE GUNAAH KII TUMHEIN KYONKAR SAZAA MILE, 17 March 2004 Mere gunaah kii tumhein kyonkar sazaa mile Kyon aisaa ho insaaf kyon aisii kazaa mile Naahaq hii bekasuur ki ek jaan chalii jaaye Kyonkar ke aisii shai ko maalik kii razaa mile Un ke sataane se bahut ham royein zaar zaar Fitrat ko un kii kisliye is mein mazaa mile Wo luut kar ham ko rahein sukh chain se abaad Kyaa thaa kasuur meraa ki mujh ko khizaa mile Sahraa se laut aaiyein ham waadii-e-chaman mein Merii bhi ziist ko Khalish aisii fizaa mile. MC Gupta 17 march 2004 १०६. KABHII DUUR HO PAAS AATE KABHII HO, 18 March 2004 Kabhii duur ho paas aate kabhii ho Rulaate kabhii aur hansaate kabhii ho Tum hii ho mere dil kii duniyaa ke maalik Kabhii yaad aate, bhulaate kabhii ho Jahaan ham kabhii saath donon chale the Laate kabhii aur bulaate kabhii ho Wafaaon ki raahon pe jo raag gaaye Sunate kabhii aur sunaate kabhii ho Tanhhaiyon mein khwaabon mein mere Chhupate kabhii muskuraate kabhii ho Khalish ho nahiin paas lagtaa hai phir bhii aagosh mein jyon lajaate kabhii ho. MC Gupta 18 March 2004 १०७. AANSUU, 19 March 2004 Aankhon mein jab bhi aate hain aansuu Naii dastaan gungunaate hain aansuu Hadd se agar dard baDhtaa hai dil mein Sukuun mere dil mein laate hain aansuu Hotaa hai ehsaas jab galtiyon kaa Afsos un kaa jataate hain aansuu Bichhude piyaa se milan kii tamannaa Ke ifraat se ladkhadaate hain aansuu Kismat bahut jab meharbaan bane tab Khushii ka pataa de ke jaate hain aansuu Na hansnaa Khalish tum mere aansuon par Sadaa mere dil kii sunaate hain aansuu. MC Gupta 19 march 2004 १०८. MOHABBAT MEIN MERII IBAADAT CHHIPII HAI, 23 March 2004 Mohabbat mein merii ibaadat chhipii hai Mere dard mein muskaraahat chhipii hai Chaahat ko merii thukraa na denaa Nahiin is mein koii milaawat chhipii hai Khayaalon mein mere jhaanko to jaano Gamon kii mere dil mein aahat chhipii hai Zubaan aashikon kii kyaa samjhegaa koii Hansii mein bhi rone ki aadat chhipii hai Unhon ne bulaawaa to bhejaa hai lekin Bulaawe mein kitnii rukaawat chhipii hai Na inkaar hii hai, na iqraar hi hai Ishaare mein kaisii sharaarat chhipii hai The naadaan ham ishq mein sochate the Gam-e-duniyaa se ek raahat chhipii hai Khalish puuchhe koii mere chaak dil se Mohabbat mein ek kaduwaahat chhippi hai. MC Gupta 23 march 2004 १०९ . भेजा उन्हें सलाम बुरा मान गये, २३ मार्च २००४--BILINGUAL भेजा उन्हें सलाम बुरा मान गये सुन के मेरा कलाम बुरा मान गये तारीफ़ कर बैठे जो उनके हुस्न की पाया है ये ईनाम बुरा मान गये उनके इशारे आ रहे थे बारहा भेजा जो इक पयाम बुरा मान गये रुख से न उनके हम नज़र लौटा सके ये ही बना इलज़ाम बुरा मान गये मौका मनाने का तो ख़लिश पा लिया अहसान आपका कि बुरा मान गये. २३ मार्च २००४ LOVELY OFFENCE-- 23 March, 2004 Why my bow so offends you? Why you dislike my ode, too? I but admired beauty your, Why these looks of anger pure? Gestures you made a thousand; Why should my gesture offend? On your face my eyes got stuck, That only is my bad luck. If you’re not irritated, Whom shall I have placated? • Written in aa, 7-7 format • Initially written as item no. 834250, which was later deleted. Present static item posted on 15 March 2008. ११०. ख़ुदा के आंसू—RAS--ईकविता, ४ मई २००८-- हिन्दी –चेतना में प्रकाशित [सं—सुधा धींगड़ा] तुम्हें इंसान का चोला दिया, हैवान बन बैठे दिया तुम को ख़ुदाई नूर, तुम शैतान बन बैठे रहो पाकीज़गी से इसलिये भेजा जहां में था मग़र मज़हब का ले कर नाम बेईमान बन बैठे दिये तोहफ़े हज़ारों किस्म के मैंने तुम्हें लेकिन तुम्हारे वास्ते लड़ने का वो सामान बन बैठे यही ख़्वाहिश थी मेरी कि रहो तुम भाई-चारे से सितम-ओ-ज़ुल्म का सब के लिये फ़रमान बन बैठे बहुत मायूस हूं मैं देख कर ये हश्र शैतानी बहाता हूं ख़लिश आंसू कि क्या इंसान बन बैठे. महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश २४ मार्च २००३ 00000000 Sunday, 4 May, 2008 8:39 PM From: "parmod moudgil" p2ptto@yahoo.com प्रिय गुप्ता जी आपकी दोनो रचनायं खूब्सूरत है प्रभु ने मानव को अन्य जीवों के मुकाब्ले ज्यादा बुद्धी दी,मगर उसने तो बुद्धि के साथ विवेक ,भला बुरा जानने की ्शक्ति भी दी थी बस उसको खोकर ही हम दुखी हैं. श्याम्सखा श्याम ०००००००००००० Sunday, 4 May, 2008 9:45 PM From: "bhupal sood" ayan_bhupal@yahoo.co.in Aadarniya gupta jiaapki rachna ne bahut prabahvit kiya. dhanyavadbhupal ००००००००००००००००००० Date: Mon, 5 May 2008 07:35:29 -0700 (PDT) From: "Om Dhingra" <ceddlt@yahoo.com> महेश जी, आप की रचना ''खुदा के आंसू'' हिन्दी -चेतना के लिए लेना चाहती हूँ. कृपा उसे मेरी इ-मेल पर पोस्ट कर दें. आप का चित्र भी चाहिए. असुविधा न हो तो अपना फ़ोन नम्बर देने की कृपा भी करें. कभी- कभी कुछ पूछना हो तो सुविधा रहती है. धन्यवाद! सादर स्नेह, सुधा Monday, 5 May, 2008 7:14 AM From: "mouli pershad" cmpershad@yahoo.com रहो पाकीज़गी से इसलिये भेजा था दुनिया में मग़र तुम नाम पर मज़हब के बेईमान बन बैठे काश! कि मज़हब के ठेकेदार यह बात सुन पाते। बहुत खूब गुप्ता जी। ००००००००००००००० . KHUDAA KE AANSUU, 24 March 2003 Tumhein insaan kaa cholaa diyaa haivaan ban baithe Diyaa tum ko khudaaii nuur tum shaitaan ban baithe Bitaane zindgii ek paak is duniyaa mein bhejaa thaa Mazhab ke naam par hii tum be-iimaan ban baithe Diye tohfe hazaaron kism ke maine tumhein lekin Ladne aur marne kaa wohii saamaan ban baithe Yahii khwaahish thii merii tum raho sab bhaaii chaare se Badaa afsos hai tum gairdil insaan ban baithe Bahut mayuus huun mein dekh kar, ye hashr shaitaani; Bahaata huun Khalish aansuu ki kyaa insaan ban baithe. MC Gupta 24 march 2003 १११. MANAATE NA, MANAANE KA BAHAANAA TO JARAA KARTE, 25 March 2004 Manaate na, manaane ka bahaanaa to jaraa karte Kabhii tum pyaar mein ham ko diwaanaa to jaraa karte Chalaate tiir na khanjar khud hii ham to mar jaate Mere dil kii taraf apnaa nishaanaa to jaraa karte Nahiin duniyaa ke gam tum ko sataate waadaa hai meraa Mere dil mein kabhii aa kar thikaanaa to jaraa karte Sukoon miltaa hai kitnaa ashq jab bahte hain aankhon se Jhuuthe hi sahii ronaa rulaanaa to jaraa karte gile shikwe mohabbat ko jawaan kucch aur karte hain Kabhii tum pyaar mein ladnaa ladaanaa to jaraa karte Hai gam wo kaun sa jo baantne se kam nahiin hotaa Khalish tum dard-e-dil sunanaa sunaanaa to jaraa karte MC Gupta 25 March 2004 ११२. KYON SOCHIYE KI KAUN BARBAADII KI WAZAH HAI , 27 March 2004 kyon sochiye ki kaun barbaadii ki wazah hai shaayad banaane waale kii is mein hi razaa hai le kar kisii gariib kaa dil todnaa us ko ye zurm hai sangiin barbaadii hi sazaa hai kismat ko apnii is kadar hargiz na kosiye duniyaa mein ham ne jo kiyaa ye us ki kazaa hai jazbaat ko ashkon mein bahaane se kyaa haasil har haal mein khush rahne mein jiine kaa mazaa hai aayeingii ek roz chaman mein bahaar bhii maanaa ki chhaaii har taraf is waqt khizaa hai aalam-e-rang-o-buu se jaraa uth ke dekhiye ruuhaanii duniyaa mein Khalish har waqt fizaa hai. mc gupta 27-3-04 ११३. TUM SE BICHHAD KE AAJ MAIN TANHAA, UDAAS HUUN, 1 April 2004 Tum se bichhad ke aaj main tanhaa, udaas huun Behad main zindgii se apnii ab niraash huun Tum kyaa gaye ho le gaye ho ruuh merii sang Jiitaa huun aise maano faqt zindaa laash huun Main khokhlaa apne ko yuun mahsuus kartaa huun Koraa lifaafaa huun mahaz khaalii libaas huun Duniyaa mein sang-dilon se miltaa aur bhalaa kyaa patthar mein dhuundhtaa hai dil wo sang-taraash huun Mujh se na kucch ummiid rakho tum aiye dosto Bujhtaa diyaa huun sirf ek bujhtii aas huun Main khojtaa huun us ko jo kismat mein nahiin hai Taa-umr na puurii ho jo main wo talaash huun Dukhtii hai rag dil mein mere har waqt maano main Naasuur huun yaa Khalish huun yaa ek kharaash huun. M C Gupta 1 April 2004 ११४. PAL BHAR KO WO KHWAABON MEIN AA KAR MUSKURAA GAYE, 1 April 2004 Pal bhar ko wo khwaabon mein aa kar muskuraa gaye Dukhte hue dil par mere marham lagaa gaye Sochaa kiye kaise jiyeinge rah ke un se duur Yaadon ke sad ke wo hamein jiinaa sikhaa gaye Jab jab gam-e-judaaii ne tadpaayaa intahaa Chupke se raat ko mere sapne mein aa gaye Hotaa hai gumaan ab bhi wo jaise hain aas paas Mere dil-o-dimaag par is kadr chhaa gaye Tum kyaa gaye duniyaa merii viiraan ho gayii Saarii umr ke waste wo zulm dhaa gaye Ujdii sahii duniyaa magar ye un ka karam hai Khyaalon kii Khalish ek hasiin duniyaa basaa gaye. M C Gupta 1 April 2004 ११५. PAL BHAR KE WAASTE HAMEIN SUURAT DIKHAA GAYE, 1 April 2004 Pal bhar ke waaste hamein suurat dikhaa gaye Zindgii bhar ko hamaare dil pe chaa gaye Koshish bhulaane kii unhein harchand kii magar Jitnaa bhulaayaa aur bhi dil mein samaa gaye Kucch aur suujhtaa nahiin un ke bagair ab Kyaa kiijiye is kadr wo ham ko lubhaa gaye Gaahe bagaahe har taraf aate hain wo nazar Diiwaanaa ham ko is tarah apnaa banaa gaye Jhuthe hi sahii par Khalish waadaa to kiyaa hai Milne ka ham ko phir se bharosaa dilaa gaye. M C Gupta 1 April 2004 ११६. DIL KII BAAT KO APNII JUBAAN TAK LAAUN MAIN KAISE, 1 April 2004 Dil kii baat ko apnii jubaan tak laaun main kaise Hakiikat zindganii kii tumhein batlaauun main kaise Apne hi khayaalon mein ho rahte is kadar khoye Main kyonkar pareshaan huun tumhein samjhaaun main kaise Lagte hain paraaye bhii tum ko to bahut apne Aise mein tumhaaraa huun nazar mein aauun main kaise Aasaan hai bahut duniyaa ke rang-o-buu mein kho jaanaa Magar in se pare jo shai hai wo dikhlaauun main kaise apne gird kyon pahre lagaa ke itne rakhe hain tumhaare dil ki gahraaii mein bhalaa jaauun main kaise tum ne paal rakhe hain Khalish shaq laakh be-buniyaad yakiin apnii wafaaon kaa tumhein dilwaauun main kaise. MC Gupta ‘Khalish’ 1 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 ११७. HAM NE WAFAAON KA SILAA YE AAJ PAAYAA HAI, 1 April 2004 Ham ne wafaaon ka silaa ye aaj paayaa hai Gahraa zakhm dil pe zafaa ka un ki khaayaa hai un kii mohabbat se huaa dil ek din aabaad Karmon ka un ke aaj mere dil pe saayaa hai Dil tuutne par kyon na aaye gam bharii aawaaz Aalam-e-bebasii mein dard-e-dil sunaayaa hai Kyaa kiijiye aise mein bhalaa yaad ko un kii Is khaam-khan sawaal ne aksar rulaayaa hai Jiiyein ki ya mar jaayein ham aise mein kyaa karein Ye khyaal Khalish baarhaa is dil mein aayaa hai. MC Gupta ‘Khalish’ I April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 ११८. PAL BHAR KO AAYE AUR WO AA KAR CHALE GAYE, 3 April 2004 Pal bhar ko aaye aur wo aa kar chale gaye Diiwaanaa zindgii ko banaa kar chale gaye Jo asliyat mein khud mahaz ek khwaab the Ham ko hasiin khwaab dikhaa kar chale gaye Dil ne jinhein malkaa-e-mohabbat banaa liyaa jhuuthii mohabbat ham se jataa kar chale gaye Pal bhar thahar jaayein ham ne kii bahut fariyaad Saarii merii fariyaad thukraa kar chale gaye Na zindgii ke saaz par lautegaa phir kabhii Nagmaa wo Khalish aisaa sunaa kar chale gaye. MC Gupta ‘Khalish’ 3 April, 2004 ११९. BIITE BARAS TUMHARII YAAD NAHIIN JAATII, 3 April 2004 Biite baras tumharii yaad nahiin jaatii Milne kii ek baar muraad nahiin jaatii Jhalak tumhaarii phir se paane kii khwaahish Sab kucch paa lene ke baad nahiin jaatii Chhaaii hai is kadr tasavvur mein mere Guzre lamhon kii rudaad nahiin jaatii Kitnii yaadein dafn huii hain maazii mein Yaad tumhaarii hai faulaad nahiin jaatii Khalish tamannaa paane kii tum ko dil se Kar ke bhi mujh ko barbaad nahiin jaatii. MC Gupta ‘Khalish’ 3 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२०. MERAA KOII BHI NAHIIN, SAATH EK SAAYAA HAI, 3 April 2004 Meraa koii bhi nahiin, saath ek saayaa hai Aaj kyon dil mein mere khyaal ye samaayaa hai Ek siaah khaamoshii sab taraf hai barpaa Kis ne bhuulaa sa mujhe nagmaa sunaayaa hai Jo kabhii the apne nikle paraaye sab Ham ne is duniyaa ko bahut ajmaayaa hai Dil ka lenaa- denaa faaltuu baatein hain Is kadr in kaa bharam jaane kyon chhaayaa hai Ishq ke naaz-o-adaa ek rangiin hain balaa In ke chakkar mein bahut waqt gawaayaa hai Jin kii aankhon se Khalish pyaar ke jaam piye Un hii ne zahar bharaa nashtar chubhaayaa hai. Jaam jin aankhon se pyaar mein chhalkaa kiye Un hii ne zahar bharaa nashtar chubhaayaa hai. MC Gupta ‘Khalish’ 3 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२१. DIL MEIN HAM NE AAP KO APNE BITHAA DIYAA, 7 April 2004 Dil mein ham ne aap ko apne bithaa diyaa Aap ne nazron se hii ham ko giraa diyaa Ishq ne hamaare kiyaa husn ko roshan aashikon ka dil hi aap ne bujhaa diyaa ham ne dil ko aap ke kadmon mein kiyaa pesh Aap ne hans kar use thokar lagaa diyaa Naam-e-mohabbat se ab to ho gayii nafrat kaisaa zahar aap ne ham ko pilaa diyaa Husn-o-wafaa hii dikhe the aap mein ham ko Aap ne ham ko zafaa kaa kyon silaa diyaa Aarzuu gilaa se Khalish kucch nahiin haasil Haal-e-dil sunaanaa thaa ham ne sunaa diyaa. MC Gupta ‘Khalish’ 7 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२२. KYAA KAREIN TUM KO SAMAJH PAAYE NAHIIN, 7 April 2004 Kyaa karein tum ko samajh paaye nahiin Aap ne bhi raaz batlaaye nahiin Galt-fahamii darmiyaan baDh-tii gayii Dost uksaane se baaj aaye nahiin Thaa adaavat kaa wo aalam naamuraad Ham bhi shak karne se sharmaaye nahiin Zindgii ne aap se ho kar judaa Nagmaa-e-ulfat kabhii gaaye nahiin Kyaa milaa tarq-e-mohabbat se Khalish Bhuulte hain din wo bhulaaye nahiin MC Gupta ‘Khalish’ 7 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२३. AAP KHAFAA HAIN KI HAM CHUP CHAAP RAHTE HAIN, 9 April 2004 Aap khafaa hain ki ham chup chaap rahte hain Ham sabhii gam aap ke chup-chaap sahte hain Kyaa shikaayat karne se hogaa hamein haasil Jaane kyon ye ashq in aankhon se bahte hain Dil ka dil se waastaa hotaa hai ulfat mein Pyaar karne waale kab hothon se kahte hain Ek din wo jaan leinge mere dil kii baat Ham isii ummid mein dil thaam baithe hain Koi din to khatm hogii shab-e-intezaar Laakh gam dil pe Khalish go aaj dhahte hain. MC Gupta ‘Khalish’ 9 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२४. DIL HAI MERAA UN KE PAAS, PAR MAIN UN SE DUUR HUUN, 9 April 2004 Dil hai meraa un ke paas, par main un se duur huun Yaaro bin piye hasiin ek nashe mein chuur huun Ham kabhii chale the saath, bhuul gaye hain wo magar Main bhulaane se wo din aaj tak mazbuur huun Pyaar ke wo raat-o-din sirf ab hain daastaan Jaam chuk jaane pe naa jo utre wo saruur huun daultein miliin mujhe na dil kii na jahaan kii Mahfil-e- naakaam-e-ishq dekhiye mashhuur huun Dil se kyon judaa karuun basaayaa dil mein thaa jise Bharam kabuul hai mujhe main kisii kaa nuur huun kyuun wafaa jhuke merii un kii zafaa ke saamne Hasiin khyaal hai kisii ke dil ka main garuur huun Pur-sukuun Khalish bahut hai galt-fahmii ye merii Aakhirii mukaam un ke dil kaa main zaruur huun. MC Gupta ‘Khalish’ 9 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२५. ZINDGII MUJH SE BAHUT NAARAAZ HAI SHAAYAD, 9 April 2004 zindgii mujh se bahut naaraaz hai shaayad thak gayaa ab zindgii kaa saaz hai shaayad aaj phir bhuulii huii sii yaad ubharii hai duur se aaii koii awaaz hai shaayad tod do ek baargii tum dil yahii mere zunuun naa-muraad kaa ilaaz hai shaayad khel kar kamsin kalii se raundnaa us ko ishq kii duniyaa kaa ye riwaaz hai shaayad naam-e mohabbat pe Khalish jaan de denaa zindgii mein kaam ye faraaz hai shaayad. MC Gupta ‘Khalish’ 9 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२६. AB TO JIIVAN MEIN MERE TANHAAII HII TANHAAII HAI, 9 April 2004 Ab to jiivan mein mere tanhaaii hii tanhaaii hai Phir kyon yaad kisii kii merii aankhon mein bhar aaii hai Jis suurat ko dekhe kitne jug biite aur biiteinge Chupke se vo suurat dil ke kone mein dhundhlaaii hai Dil kii aazaadii par koii niyam nahiin laaguu hote Yaad aaiye vo aur adhik jab un kii yaad bhulaaii hai Pal bhar kaa milnaa khwaabon mein ye bhi koii milnaa hai Khwaabon mein bhi un ne aksar ham se aankh churaaii hai Tanhaa jiivan tanhaa din aur tanhaa hee jab raate^ hai^ Khalish bhalaa tanhaa jiine mein phir kaisee ruswaaii hai. MC Gupta ‘Khalish’ 9 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२७. MAINE UN KO JAB BHI DHUUNDHAA APNE DIL MEIN PAAYAA HAI, 9 April 2004 Maine un ko jab bhi dhuundhaa apne dil mein paayaa hai Warnaa merii duniyaa mein har or andheraa saayaa hai Kahne ko to bicchud gaye wo nahiin lautnaa hai mumkin Un kii yaadon ne par mere dil se saath nibhaayaa hai Aise mein vo mil jaate to zaraa puuchhte ham un se Sadiyaan biit gayii kyon mere dil ko yuun tadpaayaa hai Jab jab un kii duurii mere dil se sahii nahiin jaatii Tab tab un kaa aks utar mere ashkon mein aayaa hai Tanhaaii mein hii to un kii yaad hameshaa aatii hai Beshkiimtii Khalish tumhaaraa tanhaaii sarmaayaa hai. MC Gupta ‘Khalish’ 9 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२८. ZINDGII AB TO MUJHE AARAAM KARNE DE, 14April 2004 Zindgii ab to mujhe aaraam karne de Raaston ko aakhirii salaam karne de Thak gayaa huun ab uthaa saktaa nahiin in ko Duniyaa ke gam duniyaa ke hi naam karne de Umr yuun to kat gaii hai khushk-lab merii Aaj rangiin zindgii ki shaam karne de Aa gayaa hai waqt-e-rukhsat zindgii mujh ko Maut kaa dil se ehtiraam karne de Sahraa mein kho jaaun Khalish kyon chaDhuun kaandhe Doston kaa kaam kucch aasaan karne de. MC Gupta ‘Khalish’ 14 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १२९. KARNE WAALAA MUJH PE SITAM YAA KARAM KOII NA HO 15 April 2004 karne waalaa mujh pe sitam yaa karam koii na ho dostii mein dushmanii ka ab bharam koii na ho Har kadam par raah-e-manzil mein aataa hai khayaal Shaayad is ke baad aglaa phir kadam koii na ho Aiye mohabbat tere rasm-o-vaayadon kaa shukriyaa Dil-shikan koii na ho ab dilrubaa koii na ho Gam uthaane kii mujhe aadat sii pad gayii hai yuun Raas jo mujh ko na aaiye aisaa gam koii na ho Daag kitne lag chuke hain mere dil pe baarhaa Chaak kar jaaye jo siinaa wo alam koii na ho Farq se gam-o- khushii ke ho gayaa huun duur main Ab Khalish mere zahan mein dam-ba-dam koii na ho. MC Gupta ‘Khalish’ 15 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३०. सब जानते हैं एक दिन सब को ही जाना है—RAS--ईकविता, ४ मई, २००८ सब जानते हैं एक दिन सब को ही जाना है दुनिया है इक सराय, दो दिन का ठिकाना है दुनिया तुम्हारे बिन रही कायम है सदियों से क्यों फ़ैसला इस को बदल देने का ठाना है जीने के जो असूल हैं दुनिया में इखलाकी उन्हें ईमानदारी से भरसक निभाना है इंसान को वाज़िब है अपने फ़र्ज़ पे चले होगा नतीज़ा क्या इसे दिल से भुलाना है चान्दी की दौलत तो जहां में छूट जायेगी रूहानी दौलत से हमें दिल को लगाना है जीयो यहां ऐसे रहो हर हाल में तुम ख़ुश दिल पे ग़मों के साये से ख़ुद को बचाना है मौला की इबादत करो सच्चा वही है एक ख़ुदगर्ज़ फरेबी ख़लिश झूठा ज़माना है. महेश चन्द्र गुप्त ख़लिश १६ अप्रेल २००४ ०००००००००००००००० Monday, 5 May, 2008 7:10 AM From: "mouli pershad" cmpershad@yahoo.com जीने के हैं असूल दुनिया में जो इखलाकी उन को हमें ताउम्र ही दिल से निभाना है अखलाक़-ओ-असूल से जी ले जितनी है बाकी़ खुन-ओ-खलिश से ज़माने को बचाना है ०००००००००००० Tuesday, 6 May, 2008 1:33 AM From: "Prem Sahajwala" pc_sahajwala2005@yahoo.com बहुत खूब खलिश जी, जीने के हैं असूल दुनिया में जो इखलाकी उन को हमें ताउम्र ही दिल से निभाना है इंसान को वाज़िब है अपने फ़र्ज़ पे चले होगा नतीज़ा क्या इसे दिल से भुलाना २. चाहूँगा कि यदि आप की कोई किताब हो तो उसे कहाँ से प्राप्त करूं प्रेम सहजवाला ००००००००००००००००००० Sunday, 4 May, 2008 8:39 PM From: "parmod moudgil" p2ptto@yahoo.com प्रिय गुप्ता जी आपकी दोनो रचनायं खूब्सूरत है प्रभु ने मानव को अन्य जीवों के मुकाब्ले ज्यादा बुद्धी दी,मगर उसने तो बुद्धि के साथ विवेक ,भला बुरा जानने की ्शक्ति भी दी थी बस उसको खोकर ही हम दुखी हैं. श्याम्सखा श्याम ००००००००००००००००० SAB JAANTE HAIN EK DIN SAB KO HII JAANAA HAI Sab jaante hain ek din sab ko hii jaanaa hai Duniyaa to ek saraai, do din kaa thikaanaa hai Kaayam zamaanaa thaa hamaare bin bhi sadiyon se Is ko badal dene ka to koraa bahaanaa hai Ihklaaki kucch asuul buniyaadii hain jiine ke Bande kaa asl kaam bas un ko nibaahnaa hai Insaan ko waazib hai apne farz par chale Hogaa natiizaa kyaa ise dil se bhulaanaa hai Chaandii ki daulat chand din mein chhuut jaayegii Ruuhaanii daulat ko hamein dil mein bithaanaa hai Mahfil-o-maikhaane mein tum zyaadaa na ulajhnaa Kucch waqt maulaa kii ibaadat mein lagaanaa hai Jiiyein Khalish aise ki ham har haal mein khush hon Gam se pareshaan hone se khud ko bachaanaa ha. MC Gupta ‘Khalish’ 16 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३१. DIL MEIN TASWIIR HAI KAAGAZ PE BANAAUUN KAISE Dil mein taswiir hai kaagaz pe banaauun kaise Khayaalon ko lafzon mein bataauun kaise Na karo zikr mohabbat ka yaarab mujh se dil ke raaz mahfil mein jataauun kaise aayaa thaa jo hothon pe faqt un ke liye wo giit zamaane ko sunaauun kaise wo gaye to duniyaa ujad gayii merii Tanhaa dil ko aise mein manaauun kaise Din raat nigaahon mein wahii rahte hain Suurat-e-gair sapnon mein sajaauun kaise Un ke naam sabhii khwaab kar diye hain Khalish Tasavvur mein kisii aur ko laauun kaise. MC Gupta ‘Khalish’ 17 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३२. WO JAATE RAHE HAM BULAATE RAHE Wo jaate rahe ham bulaate rahe Wo na maane unhein ham manaate rahe Laut kar phir se wo kaash aa jaayeinge Ham dilaasaa ye khud ko dilaate rahe Maaf kar deinge wo gar khataa kucch huii Aise dil mein khayaalaat aate rahe Din guzarte gaye wo na aaye magar Wo hasiin khwaab bhi ab to jaate rahe Kyon Khalish sang-e-dil se ta-umr tum Be-wajah apne dil ko lagaate rahe. MC Gupta ‘Khalish’ 17 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 NOTE—See 174 for same radiif. १३३. MILNAA CHAAHTE HAIN TUM SE PAR HAM MIL NAHIIN SAKTE Milnaa chaahte hain tum se par ham mil nahiin sakte Mere sahraa-e-dil mein ab kabhii gul khil nahiin sakte Bahut aasaan hai ranjish bhulaane kii salaah denaa Hakiikat hai phate ek baar jo dil sil nahiin sakte Bahaaron mein hansiin bahlaauun main dil ko bhalaa kaise Base hain gam jo siine mein wahaan se hil nahiin sakte Chhupaa ke itne gahre maine apne dil mein rakhe hain Kurede laakh koii daag mere chhil nahiin sakte Manzar is kadar dar-khauf in aankhon ne dekhe hain Nazar mein ab Khalish rangiin nazaare jhil nahiin sakte. MC Gupta ‘Khalish’ 17 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३४. LIPSTICK Hothon pe chaar chaand lagaatii hai lipstick Kyaa kyaa balaa dilon pe ye dhaatii hai lipstick yuun to jamaal aap ke rukh kaa hai be-misaal kucch aur jyaadaa husn badhaatii hai lipstick sun le jo in labon se nazm-e-ishq ek baar diiwaanaa us ko aur banaatii hai lipstick naazuk labon pe aap ke laalii ye gazab kii kitaab-e-ghazal mein nuktaa lagaatii hai lipstick adnaa sii dibiyaa ka Khalish ye dekhiye kamaal paanii badon-badon ko pilaatii hai lipstick. MC Gupta ‘Khalish’ 19 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३५. Ho ke be-pardaa nazar aap milaayein ham se Ho ke be-pardaa nazar aap milaayein ham se Jitne bhi kahein sazde aap karaayein ham se Badhtii huii dhadkan pe karam farmaaein Is kadar pyaar mein nazrein na churaayein ham se Dil ke jazbaat chhupaane se nahiin chhup sakte Jhuuthaa gussa na nigaahon mein jataayein ham se Aap kyon itne pareshaan nazar aate hain Raaz aankhon ki namii kaa na chhupaayein ham se Aaj kii shaam to bas yuun hii chalii jaatii hai Bahaanaa phir milne kaa banaayein ham se Ham aap ko dil apnaa diye baithe hain Dil aap Khalish kaash lagaayein ham se. MC Gupta ‘Khalish’ 21 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३६. ZINDGII MERII SAWAALIAA NISHAAN HAI Zindgii merii sawaaliaa nishaan hai Har roz zindgii ka ek imtihaan hai Ruswaaii ke siwaai mohabbat mein kyaa milaa Dil ko lagaane kaa ajab kaisaa inaam hai Zulm-o-sitam zamaane ke kyaa kiijiye bayaan Maashuuk meraa merii tarah be-zubaan hai Jii kar milegaa kyaa hamein aise jahaan mein Har subah jis kii maut kaa maano payaam hai Main baaj aa gayaa huun apnii hasraton se ab Kyaa kiijiye Khalish abhii ye dil jawaan hai. MC Gupta ‘Khalish’ 25 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३७. ZINDGII MAIN TUJH SE BAHUT SHARMSAAR HUUN Zindgii main tujh se bahut sharmsaar huun Kucch na ban sakaa main teraa gunahgaar huun Meraa wazuud kucch nahiin aur hashr bhi nahiin Dilbar ke dil mein khil na sakaa main wo pyaar huun Taktii hain kyon rukhsaar ko mere ye nigaahein Jo aaye andhere mein saruur-o-nikhaar huun Karnaa muaaf dosto naa-kaamiyaan merii Gulshan mein jo laaye khizaa main wo bahaar huun Kyaa hai mere kariib kisii ko jo de sakuun Main faqt yaaro muflisii kaa ek gubaar huun Is tarah gam se rahaa rishtaa Khalish meraa Umr bhar jo mil na paayaa wo karaar huun. MC Gupta ‘Khalish’ 27 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३८. ZINDGII KII ULJHANEIN SULJHEINGII KYAA MERII zindgii kii uljhanein suljheingii kyaa merii dil kii tanhaa dhadkanein samhleingii kyaa merii dafn khud apne hi haathon kar diyaa jin ko yaad wo guzrii huii lauteingii kyaa merii hain hakiikat aaj merii zindgii kii jo suunii sham aur raat ab badleingii kyaa merii jab bahaaron ne kinaaraa kar liyaa mujh se ab tamannaa phir kabhii ubhreingii kyaa merii waqt-e-tanhaaii mein Khalish aataa hai khayaal aankh giilii ho ke ab suukheingii kyaa merii. MC Gupta ‘Khalish’ 28 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १३९. TUM SE MAIN DIL JODNAA CHAHTAA HUUN tum se main dil jodnaa chahtaa huun hawaaon ka rukh modnaa chaahtaa huun ruswaaii se ab dartaa nahiin main ilzaam-e-ishq odhnaa chaahtaa huun Shuruaat ho ek nayii zindgii kii Gayii zindgii chhodnaa chaahtaa huun Zamaane mujhe ab na ilzaam denaa Riwaazon ko main todnaa chaahtaa huun Pilaaye zahar se bhare jaam jis ne Wo pyaalaa Khalish phodnaa chaahtaa huun. MC Gupta ‘Khalish’ 28 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १४०. PAANAA NA TUM KO BHULAANAA HAI MUMKIN Paanaa na tum ko bhulaanaa hai mumkin faqt ek nagmaa sunaanaa hai mumkin Kuchal do zamaane ki rasmein dikhaa do kar ke mohabbat nibaahnaa hai mumkin Himmat ho khud mein khudaa par bharosaa Kile ret main bhii banaanaa hai mumkin Maanaa zafaaein bahut hain hawaa mein Magar pyaar sacchha bhi paanaa hai mumkin Rote ho barbaadiyon mein Khalish kyon Khijaaon mein bhi muskaraanaa hai mumkin. MC Gupta ‘Khalish’ 28 April 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १४१. MERAA DIL KISII KE BHI KAABIL NAHIIN HAI Meraa dil kisii ke bhi kaabil nahiin hai Siine mein shaayad asal dil nahiin hai Huaa na katl ye nazar se kisii kii Kisii aur kaa bhi ye kaatil nahiin hai Mujh se meraa dil kabhii puuchhtaa hai Kyaa tujh ko duniyaa mein haasil nahiin hai Paakiizgii hai mohabbat mein merii Gunaah is mein koii bhi shaamil nahiin hai Himmat salaamat rahe to pahunchnaa Manzil pe insaan ko mushkil nahiin hai Akelaa huun kashtii hai majh-dhaar merii Nazar aataa koii bhi saahil nahiin hai Patthar to hai haath mein par Khalish Phainkne waale logon mein shaamil nahiin hai. M C Gupta ‘Khalish’ 29 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १४२. MERE MAHBUUB CHALO AAJ ALAG HO JAAYEIN Mere mahbuub chalo aaj alag ho jaayein Apnii raahein hain judaa un mein kahiin kho jaayein Nahiin laazim ke safar kar ke shuruu ruk na sakein Raaste hain ye ajab jaane kidhar ko jaayein Koii wadaa to karo aaj nibaahne ke liye Phir na dekhoge kabhii mud ke kaho to jaayein Ham ne siikhaa hai fanaa pyaar ki khaatir honaa Kyon unhein rokein agar raah-e-zafaa wo jaayein Dil-e-naakaam ko rahne do ab andheron mein Kah do kismat ke charaagon se Khalish so jaayein. M C Gupta ‘Khalish’ 30 April, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १४३. सभी कहते थे तुम को देखने वाला फ़िदा होगा –sent to EK and HK, १ मई २००४--RAMAS सभी कहते थे तुम को देखने वाला फ़िदा होगा बसर एक ज़ुल्फ़ की ज़न्ज़ीर में उस का सदा होगा न था मालूम फ़ितरत ज़ुल्फ़ की होगी मगर ऐसी कभी करना मोहब्बत तर्क किस्मत में बदा होगा बयां क्योंकर करूं मैं सिलसिला तेरी जफ़ाओं का सुनेगा जो भी मेरा हाल नाहक ग़मशुदा होगा बहाओ अश्क अब तनहाइयों में रात भर जितने मोहब्बत और वफ़ा का फ़र्ज़ क्या इस से अदा होगा न तुम मुझ को कभी आवाज़ देना दूर से हमदम बिछुड कर याद करने से भला क्या फ़ायदा होगा जो हम कहते हैं करते हैं तुम्हारे मुल्क में शायद कसम खा के मुकरने का भी कोई कायदा होगा किताब-ए-इश्क का पन्ना पलट दो क्यों झिझकते हो यही शायद नई एक ज़िन्दगी का इब्तदा होगा अग़र खाली है पैमाना तो क्यों न तोड़ दो उस को ख़लिश तुम को तो हासिल हर गली में मैकदा होगा. महेश चंद्र गुप्त खलिश १ मई २००४ SABHII KAHTE THE TUM KO DEKHNE WAALAA FIDAA HOGAA—[unrevised] Sabhii kahte the tum ko dekhne waalaa fidaa hogaa Basar ek zulf kii zanziir mein us kaa sadaa hogaa Na thaa maaluum fitrat zulf kii hogii magar aisii Kabhii karnaa mohabbat tarq kismat mein badaa hogaa Bayaan hogaa zafaaon kaa tumhaarii silsilaa kaise sunegaa haal jo bhi dost meraa gam-shudaa hogaa na tum mujh ko kabhii aawaaz denaa duur se hamdam bicchud kar yaad karne se bhalaa kyaa faaidaa hogaa bahaao ashq ab tanhaaiyon mein raat bhar jitne mohabbat kii wafaa kaa farz kyaa is se adaa hogaa Jo ham kahte hain karte hain tumhaare mulk mein shaayad kasam khaa kar mukarne kaa bhi koii kaidaa hogaa kitaab-e-ishq kaa pannaa palat do, kyon jhijhakte ho yahii shaayad nayii ek zindgii kaa ibtdaa hogaa agar paimaanaa khaalii ho gayaa to tod do us ko Khalish tum ko to haasil har galii mein maikadaa hogaa. M C Gupta ‘Khalish’ 1 May, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 hi mahesh ji ! Sir buhat mazrat chahti hon ...aap ko aap k naam sey pukara....mujhey buhat bura lag raha hai ...aap ko aap k naam sey pukarney ka matlab har giz aap ki respect mien kami ki gharaz nahin thi...darasal merey buhat sey dost ebazm k memberan hain to wo sab meri hi umer k areeb Qareeb hain issi liye mien ney soucha k aap bhi merey hi humumer hongey..ik baar phir mazrat chahti hon.....mien pakistan k shehr Karachi ki hon...aap k barey mien jan kar achcha laga k aap doc. hain aur ab medico legal cases ko handle kartey hain..ik mazey ki baat aap ko bataaon..mien bhi medical ki student hon 3rd year mien hon aur mera sab sey pasaandeeda subject Forensic medicine hai.....aap k liye buhat respect thi ab aur bhi ziyada ho gaye hai ye jaan kar k aap merey senior hain ..Khuda gawah hai k aap ki biwi ka sun kar buhat afsoos hua jaanti hon k ye sab aap k ghum mien aur izafa kar sakta hai ..par kia karon mujhey buhat ajeeb lag raha hai ye jaan kar ...zindagi aur maut to Allah k haath hai...par najaney kiyon aissa lagraha hai k shayad aap k ghum mien aur izafa meri waja sey hua hai .. aap ki ghazal ka ik shair parha jo aap ney abhi bhaiji hai ...sachi bataon aur parhney ki himmat nahin hui aur mien nahin pareh paai ...umeed karti hon k aap mind nahi karien gey ..buhat touchy hai buhat ziyada...jaan kar achcha laga k aap ik kitaab likhna chahtey hain ...jab bhi likhiye to mujhey zaroor batiye ga...mujhey achcha lagey ka k itney azeem shair merey sathi hain aur mien fakhar sey bataon gi logon ko....aur ik aur baat aap ka andaaz waqai buhat achcha hai ..... apna buhat khayal rakhiye ga bye dua go Saba sattar 20 May 2004 ********************* From: Ripudaman Pachauri <pachauriripu@yahoo.com> Date: Jul 5, 2006 9:48 PM Subject: Re: १४०. सभी कहते थे तुम को देखने वाला फ़िदा होगा --५ जुलाई २००६ को प्रेषित Khalish ji ! aap ko personal mail likh raha hun. batana chaataa hun ki aap ki gazal/nazam bahut acchi lagi. aur sabse acchi baat mujhe ye lagtee hai kee aap bahut gahree baat kahte hain. mein soach mein tha, itne saare gahre vichaar. itni khoobsoorat aap ki padad ( hindi aur urdu dono mein hee ), kaise hai ? aur aap log itni teevrrtaa se kaise likh lete hain, dhekhtaa hun kee ausatan har roz ek rachnaa aap likhte hain. aur itni jaldee mein bhi likhi hui kavitaa mein koi trutee see nahin lagtee. aisaa kyun ur kaise. kuch mujh ko gyaan deejiye, yaa koi raah hi dhikaaeye. gazal per itnaa dhaan de paaoon abhi itnaa saamarth nahin hai, kavitaa aur nazam ke bare mein hi kuch bata deejiye. aap kaa article maine pada tha, Gazal ke upper jo aap ne likhaa tha. acchaa laga. aap agar koi tip dey-dein, to meri kavitaa savar jaayegi, aisaa meraa vishvaas hai. aap se kuch gyaan milne kee abhilaasha mein. Ripudaman ********0 प्रिय रिपुदमन जी, पत्र के लिये धन्यवाद. मुझे बहुत संकोच हो रहा है कि क्या लिखूं. औपाचार्क रूप से तो मेरी हिन्दी की पढ़ाई केवल नवीं क्लास तक रही, फिर विज्ञान, मेडिकल क्षेत्र में चला गया, ५ वर्ष पूर्व वकालत शुरू की. साहित्य का विधिवत अध्ययन कभी न कर पाया, इच्छा बहुत रही.तथापि, चिकित्सा क्षेत्र में अनेक पुस्तकें हिन्दी में लिखी हैं. कविता लिखना केवल ३ वर्ष पूर्व शुरू किया, हिन्दी तथा अंग्रेज़ी, दोनों में. हिन्दी कविता में गज़ल लिखना मुझे अच्छा लगा. गज़ल लिखते समय उर्दू का समावेश हो ही जाता है. मैं आप को अथवा किसी अन्य को साहित्य विषयक ज्ञान देने योग्य नहीं समझता. तथापि, अपने अनुभव के आधार पर इतना ही कह सकता हूं-- १. कविता में भावना प्रधान है किन्तु प्रारूप को गौण नहीं समझना चाहिये. आज कल हर एक व्यक्ति कवि बनना चाहता है किन्तु कविता के नियमों को सीखने की ज़हमत उठाना नहीं चाहता. There is no short cut to success. 2. अतुकान्त कविता करने से पहले तुकान्त, छ्न्द-युक्त कविता करना सीखना चाहिये. नियम तोड़ने का अधिकारी बनने से पहले नियम निभाना आना चाहिये. ३. जहां तक शीघ्रता से लिखने की बात है, इस का एक ही राज़ है--Practice makes one perfect. अब तक ३५० से अधिक कविताएं, अधिकान्श गज़ल, लिख चुका हूं, सो प्रेक्टिस सी हो गई है. ४. जहां तक गहराई का सवाल है, यह तो शायद उम्र का तकाज़ा है. ६४ साल जीते जीते अनेक अनुभव हो ही जाते हैं. प्रेम बनाये रखें. महेश गुप्त ५ जुलाई २००६ 000000000000000 From: Shyamal Kishor Jha <shyamalsuman@yahoo.co.in Date: Jul 6, 2006 8:19 AM खलिश साहब, बहुत ही सुन्दर रचना है। मेरी दृष्टि में खासकर निम्न दो शेर कमाल के बन पडे हैंः बहाओ अश्क अब तनहाइयों में रात भर जितने मोहब्बत की वफ़ा का फ़र्ज़ क्या इस से अदा होगा जो हम कहते हैं करते हैं तुम्हारे मुल्क में शायद कसम खा के मुकरने का भी कोई कायदा होगा बधाई। श्यामल सुमन 00000000000000000000 From: Kapil Soni <kapisoni@gmail.com> Mailed-By: googlegroups.com Reply-To: hindikavita@googlegroups.com Date: Jul 6, 2006 5:09 PM Sir mja aa gya agar ese hi or kuch ghazal bejhte rhe to aapka sukriya. bahut bahut shukriya................ kapilsoni १४४. MAIN TERE PYAAR KE KAABIL TO NAHIIN HUUN SHAAYAD Main tere pyaar ke kaabil to nahiin huun shaayad Terii nafrat ka bhi baayas na banuun shaayad Terii har shokh adaa par main abhii martaa huun Kal main diidaar ka haqdaar na rahuun shaayad Kaise ehsaas-e-mohabbat main karaauun tujh ko Le ke faryaad tere kadmon mein paduun shaayad Kyaa silaa merii wafaa ka hai faqt itnaa Umr bhar sitm mohabbat mein sahuun shaayad Nahiin manzuur tumhaarii hai Khalish ruswaaii Zikr ta-umr tumhaaraa na karuun shaayad. M C Gupta ‘Khalish’ 11 May 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १४५. NA PUUCHHO KIS LIYE MAIN NAZM-O-ASHAAR LIKHTAA HUUN Na puuchho kis liye main nazm-o-ashaar likhtaa huun Bahut ho kar gam-e-duniyaa se main laachaar likhtaa huun Hazaaron zakhm hain dil mein mere har waqt riste hain Faqt gham galt karne ko ghazal do-chaar likhtaa huun Mere ashaar mein bahte hain mere dard ke aansuu Zamaanaa thiik hii kahtaa hai main bekaar likhtaa huun Andheraa hi andheraa zindgii mein hai merii lekin Dikhtaa hai tasavvur mein wo jab rukhsaar likhtaa huun Mere mahbuub chand ashaar tum ko khat mein bheje hain Tumhaare ishq kaa ban kar bahut biimaar likhtaa huun Na tum se guft-guu hotii hai na diidaar hotaa hai Jataane ko mujhe kitnaa hai tum se pyaar likhtaa huun Kazaa do tum sazaa do yaa hansiin saugaat do koii Mile kucch to Khalish ye karte intezaar likhtaa huun M C Gupta ‘Khalish’ 13 May 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 From: Ramesh Nadagouda <R.Nadagouda@zensar.com> To: <mcgupta44@rediffmail.com> Subject: RE: [eBazm] Na puuchho kis liye main nazm-o-ashaar likhtaa huun Date: Fri, 21 May 2004 11:15:09 IST Hello Sir, Its a very nicely written Ghazal. Thanks for the contribution. Regards, Ramesh. १४६. NA HONGE ZINDGII MEIN AAP TO KUCCH TO KAMII HOGII Na honge zindgii mein aap to kucch to kamii hogii Jo hogaa waqt-e-rukhsat aankh mein kucch to namii hogii Chale jaaoge tum ek din bahut se saal biiteinge Magar suurat tumhaarii aankh mein phir bhi ramii hogii Khileinge phuul yuun to phir bhi jab hogii suhaanii rut Judaa ho aap se viiraan ye kucch to zamiin hogii Duniyaa aap ke dam se merii rangiin hai kitnii Na saayaa ap ka hogaa, fizaa mein sansanii hogii Tumhaare gham mein din bhar aaj kal bezaar rahtaa hai Khalish ke doston se ye khabar tum ne sunii hogii. M C Gupta ‘Khalish’ 10n June 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १४७. HAM NE SARAAHAA AAP KYON NAARAAZ HO GAYE Ham ne saraahaa aap kyon naaraaz ho gaye Ukhre hue kyon aap ke andaaz ho gaye Kucch to karam farmaaiye dil par mere huzuur Maanaa ki bade aap tiirandaaz ho gaye Kyon kar bharosaa kiijiye aur kis pe ab Khalish Vaadaa hi todne ke jab riwaaz ho gaye Maanind-e-tifl kal talaq ghutnon ke bal chale Ham ne uthaa diyaa to ab parwaaz ho gaye Paayiin faqt ruswaaiyaan un se jinhein Khalish Samajhe the zindgii ke ab hamraaz ho gaye M C Gupta ‘Khalish’ 10n June 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १४८. HAZAARON LADKIYAAN AISI KE HAR LADKII PE DAM NIKLE* hazaaron ladkiyaan aisi ke har ladkii pe dam nikle hazaaron dekhe hain ladke magar sab be-sharam nikle ladkaa hotaa hai paidaa, manaate jashn hain har suu ladkii ko kahaa jaataa hai ki phuute karam nikle jimmedaariyaan ladkii nibaahti do gharon ki hai apne ghar ki parwaah karne waale ladke kam nikle biiwii raat din kunbe ki uljhan mein pareishaan hai shauhar ghar mein aaye to zubaan se bas hukam nikle uthaate haath hain biiwii pe karte baat talkhii se zubaan se biiwii ke lekin lafz behad naram nikle koii samjhaao in mardon ko kyon magruur rahte hain behtar hone ka kaise Khalish in kaa bharam nikle. • Written as a retort to: hazaroon ladkiyan aisi ke har larki pay dam nikle jis ladki pay dam nikle wo ladki ghar se kam nikle M C Gupta ‘Khalish’ 14 June 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १४९. BEMAANII SABHII KASMEIN, KASMON KA BHAROSAA KYAA Bemaanii sabhii kasmein, kasmon ka bharosaa kyaa jhuute hain sabhii vaade vaadon ka bharosaa kyaa ho jaate judaa pal mein hamsafar zamaane ke murjhaate hain do din mein phuulon ka bharosaa kyaa ab mujh ko hansiin vaadon se aur na bahlaao jab dil hi nahiin apnaa gairon ka bharosaa kyaa do jism aur ek jaan ki baatein to suhaanii hain naazuk lab se niklii baaton ka bharosaa kyaa kahte hain jawaanii mein duniyaa ko badal deinge ab jaanaa budhaape mein haathon ka bharosaa kyaa khaalii the haath gayaa duniyaa se sikandar jab aiye Khalish bhalaa phir tum jaison ka bharosaa kyaa. M C Gupta ‘Khalish’ 14 June 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 १५०. JAB PYAAR KISII SE HOTAA HAI Jab pyaar kisii se hotaa hai Dil chupke chupke rotaa hai un hijr ki lambii raaton mein dil ashkon se gam dhotaa hai Dil bhi rotaa hai aankhein bhi Donon mein kucch samjhautaa hai chalte hain tiir nazar ke jab Dil khaataa gahraa gotaa hai ruk jaatii hai jaise dhadkan dil hosh hi maano khotaa hai aagaah kiyaa tha pahle hi kyon biij gamon ke botaa hai dil lagaa ke ab kyon daaman ko ashkon se Khalish bhigotaa hai. M C Gupta ‘Khalish’ 14 June 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 |