Hindi poems in Hindi script, mainly ghazals, Serial no. 1-700 |
५१. MAJHDHAAR MEIN KISHTII HAI KINAARAA DE DO, 2 November, 2003 majhdhaar mein kishtii hai kinaaraa de do mere tuute hue is dil ko sahaaraa de do Waadaa ki na ham se bicchhad jaaoge Tum rakhne ko dil aaj hamaaraa de do duniyaa ki nahiin dil ki nazar se dekho nazron ko mohabbat ka ishaaraa de do mazbuur tamannaa pe karam farmaao khwaabon ko hasiin ek nazaaraa de do zurm aur khataa mere sabhi maaf karo Haq apnii mohabbat ka dubaaraa de do. MC Gupta ‘Khalish’ 2 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ५२. जब कली बाग में नयी खिली एक दिन तो बहुत देर मातम मनाया गया—बिना तिथि की गज़ल, ईकविता को १६-७-०७ को प्रेषित, ४ नवम्बर २००३ जब कली बाग में नयी खिली एक दिन तो बहुत देर मातम मनाया गया एक मुश्किल कहां से गले आ पड़ी, हर किसी को ये दुखड़ा सुनाया गया वो बिचारी कली मुस्कराती थी जब कोई उस की खुशी से न खुश हो सका उस की मासूम मीठी सी आवाज़ को बेसुरा राग कह कर दबाया गया एक दिन वो कली जब जवां हो गयी रूप दिन रात उस का निखरने लगा रूप पर यूं न इतराओ, बान्धो इसे, दोष उस का बराबर जताया गया बागबां को कली अब खटकने लगी, फूल खिल कर भला क्यों रहे बाग में खोज वर के बज़ारों में होने लगी, दाम दूल्हे का इक दिन चुकाया गया आयी बेला विदा की तो आंसू बहे, दूसरी ओर शहनाई बजने लगी पांव ससुराल में जब बहू के पड़े तो जो लाई थी पहले गिनाया गया जो भी मांगा गया वो तो लायी मगर उस में खामी हज़ारों निकाली गयीं हाथ खाली ही धी को विदा कर दिया, बाप कंगला है उस को बताया गया दिन में फ़ुर्सत न मिलती उसे काम से, रात कटती थी शौहर की मनुहार में मायके से वो कुछ भी तो लायी नहीं, दे के ताना ये उस को सताया गया उस ने रोया बहुत, गिड़गिड़ाया बहुत पर गुनाह उस का नाकाबिल-ए-माफ़ था इस गुनाह की सज़ा क्यूं न मिलती खलिश, डाल पेट्रोल उस को जलाया गया. महेश चन्द्र गुप्त खलिश ४ नवम्बर २००३ jab kalii baag mein nayii khilii ek din, to maatam bahut hi manaayaa gayaa ek musiibat ye naahaq gale aa padii, ye gam har kisii par jataayaa gayaa naazuk si pyaarii kumaarii kalii, wo kilakatii khushii se thi anjaan sii Us ki masuum aur miithii si aawaaz ko, besuraa raag kah kar dabaayaa gayaa Ek din wo kalii jab jawaan ho gayii, ruup din rat us kaa nikhrne lagaa Ruup par tum na itraao, baandho ise, fikraa us ko baraabar sunaayaa gayaa Baagbaan ko kalii ab khatakne lagii, phuul khil kar bhi gulshan mein kyuunkar rahe Duulhe baazaar mein kitne dhuundhe gaye, daam duulhe kaa ek din chukaayaa gayaa Aayii belaa bidaa kii to aansuu bahe, duusarii or shahnaaii bajne lagii Pair sasuraal mein jab bahuu ne rakhaa, tab dahej us se chun kar ginaayaa gayaa Aayii belaa bidaa kii to aansuu bahe, waqt-e-rukhsat ki shahnaaii bajne lagii Pair sasuraal mein jab bahuu ne rakhaa, tab dahej us ka pahle ginaayaa gayaa Jitnaa maangaa gayaa sab wo laayii magar, thiin ummiid jyaadaa hi sasuraal mein Khaalii haathon hi dhii ko vidaa kar diyaa, kangle maa-baap hain ye bataayaa gayaa Din mein fursat na miltii use kaam se, raat katatii thiin shauhar ki manuhaar mein Hai dahej us ke ghar se bahut kam milaa, taanaa de de ke us ko sataayaa gayaa Din mein fursat na miltii use kaam se, rotii bhar pet us ko muyassar na thii Zulm us par bahut sakht tode gaye, har tariike se us ko sataayaa gayaa Wo roii bahut, gidgidaayii bahut, par gunaah us ka na-kaabil-e-maaf thaa Is gunaah ki sazaa kyuun na miltii Khalish, daal petrol us ko jalaayaa gayaa. *This is a ghazal about how a young girl born in India is discriminated as a burden on the family and after she is married off and sent away with a big dowry, is ill treated by the in-laws who make further monetary demands, on non-fulfilment of which the young bride is burnt to death MC Gupta ‘Khalish’ 4 November, 2003 ५३. Duniyaa mein aa ke ek din sab ko hi jaanaa hai, 13 November, 2003 Duniyaa mein aa ke ek din sab ko hi jaanaa hai Na samajho ghar ise do chaar din ka ye thikaanaa hai Jawaanii mein bahut sochaa kiye sab kucch badal deinge Budhaape mein samajh aayaa ki dil sab se milaanaa hai Gandgii dil mein hai auron ke to ham fiqr kyon karein Hamein pahle to apne dil ka gandaapan mitanaa hai Nasiihat jo abhi tak ham zamaane ko rahe dete Hamein khud us nasiihat ko amal mein apne laanaa hai Khalish ab tak ye biitii umr ishq-e-yaar mein lekin Ibaadat mein khudaa ki ab ise aakhir lagaanaa hi. MC Gupta ‘Khalish’ 13 November, 2003 ५४. mere mahbuub tiir-e-nazr mere dil pe chalne do 16 November, 2003 mere mahbuub tiir-e-nazr mere dil pe chalne do bismil is ko hone do, armaan sab nikalne do mujhe haasil nahiin tum phir bhi mere khwaab ke sadke sadaa tum paas ho mere, hasiin ye khwaab palne do kismat mein mohabbat ki agar likhii hai kurbaanii to mere dil ki shamma ko bharii mehfil mein jalne do ashkon ko chhupaane se mohabbat mein milegaa kyaa nishaanii pyaar ki hain in ko aankhon se machalne do Khalish ye raat lambii hijr ki hogii khatm ek din Isii ummiid mein tum mere is dil ko bahalne do. MC Gupta ‘Khalish’ 16 November, 2003 ५५. Tum sar-e-aam na mujh ko aawaaz do, dekh legaa koii bhed paa jaayegaa, 16 November, 2003 Tum sar-e-aam na mujh ko aawaaz do, dekh legaa koii bhed paa jaayegaa Pardaa hatne ki ek baar bas der hai, raaz saare zamaane pe chhaa jaayegaa Dil-jale hain bahut har galii mein yahaan, un ko milnaa hamaaraa gawaaraa nahiin Saamne sab ke anjaan rahnaa sadaa, varnaa milnaa musiibat hi dhaa jaayegaa Khat kabhii bhuul kar mujh ko likhnaa na tum, chaahe dil mein hazaaron ishaare uthein Koraa kaagaz faqt bhej denaa mujhe, saaraa majbuun samajh aap aa jaayegaa Tum salaamat raho ham nahiin maangte tum se kucch bhii mohabbat mein is ke siwaa ChhoD mujh ko Khalish duur jaanaa nahiin, gam tumhaarii judaaii ka khaa jaayegaa MC Gupta ‘Khalish’ 16 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ५६. TANHAAII, 17 November, 2003 aayaa tha akelaa main, jiitaa huun akelaa hi, ye umr-e- tanhaaii kyon aaj sataatii hai ummiid sahaare ki kyonkar ke kisii se ho, meraa na koi hamdam na koi bhi saathii hai armaan se kabhi jin ko is dil mein basaayaa thaa, do din ke wo mehmaan the par zakhm diyaa gahraa raaton ke andhere mein suurat wo dikhaate hain, ek buund mohabbat ki aankhon mein samaatii hai yaadon ke sahaare hi ab umr bitaanii hai, koii to sahaaraa ho is dil ke bahalne ka shammaa-e-wafaa ab bhi roshan hai Khalish dil mein, afsaanaa zafaaon ka wo un ka sunaatii hai MC Gupta ‘Khalish’ 17 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ५७. WADAA-E-MOHABBAT, 17 November, 2003 Gam se hai bhari duniyaa bas ek tum meraa saayaa ho Khudaa ne waaste mere tumhein jaise banaayaa ho Mujhe kyon dekhte ho tum bhare hairat nigaahon mein Maano dil se tum ne merii fitrat ko bhulaayaa ho Dar mujh ko nahiin ruswaaii duniyaa mein agar ho to Mujhe dar hai kahiin tum ne na nazron se giraayaa ho Mujhe har shakhs duniyaa mein bhalaa taktaa hai kyuun aise Ki jaise karz le kar ke na phir maine chukaayaa ho Mohabbat kii hai maine kyaa gunaah hai koi kar daalaa Nahiin hai duusraa koi jise dil mein basaayaa ho Mohabbat paak hai merii ye ek naazuk sachaaii hai Na ho aisaa zahar dushman ki nazron ne milaayaa ho. MC Gupta ‘Khalish’ 17 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ५८. MOHABBAT KA KARAM AAP NE FARMAAYAA HAI, 17 November, 2003 Mohabbat ka karam aap ne farmaayaa hai Phir kyon zafaaon ka sitam dhaayaa hai Meri duniyaa-e-mohabbat ko na thukraanaa duniya ko tumhaare liye thukraayaa hai Saaz-e-dil ne mere dil ki har dhadkan mein Tere pyaar ka nagmaa sadaa sunaayaa hai Tum mujhe chhod kahiin duur chale jaaoge Har mulakaat pe is khyaal ne rulaayaa hai Agar barbaad hi honaa likhaa hai kismat mein To kyon ilzaam mohabbat pe meri aayaa hai mere dil ki zaanib ek nigah to daalo dil ke har kone mein tera saayaa hai. MC Gupta ‘Khalish’ 17 November, 2003 ५९. MUJH PE PYAAR AA JAAYE, 18 November, 2003 mujh pe pyaar aa jaaye Tumhe etbaar aa jaye Ruuh ko chain aa jaaye Dil ko karaar aa jaaye Gamon se nizaat mil jaaye Zindagii mein bahaar aa jaaye Ek nigaah daalo aur Mujh pe nikhaar aa jaaye Justjuu karuun us ki saamne yaar aa jaaye Khalish hamdam bano mere Aisaa dayaar aa jaaye MC Gupta ‘Khalish’ 18 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ६०. MUJHE MALUUM NA THA RAAH-E-ULFAT CHAL NA PAAUUNGAA, 18 November, 2003 Mujhe maluum na tha raah-e-ulfat chal na paauungaa Shamma bujh jaayegi chaah kar bhi us mein jal na paauungaa Nahiin sochaa tha maine ishq mein aisaa bhi hogaa haal Jis mein rah na paauungaa aur nikal na paauungaa. Nahiin main jaanataa tha jo lubhaatii hai fizaa mujh ko Na us mein saans le paauungaa us mein dhal na paauungaa patthar ban gayaa hai dil Khalish ab kar ke intezaar aayein kabr par wo aur main pighal na paauungaa. MC Gupta ‘Khalish’ 18 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ६१. AAKHIRII KHAT, 19 November, 2003 Nahiin chahtaa par jiye jaa rahaa huun Zahar zindagii ka piye jaa rahaa huun Wafaain kabhi jo nibaahiin thiin maine Ilzaam un ka liye jaa rahaa huun Jazbaat dil ke jubaan tak na aayen Hothon ko dar kar siye jaa rahaa huun Inhe bhuul jaao ya dil mein sajaa lo Faqt chand yadein diye jaa rahaa huun Salaamii Khalish aakhirii khat ki le lo Tere naam duniyaa kiye jaa rahaa huun MC Gupta ‘Khalish’ 19 November, 2003 ६२. KHUSHII AUR GHAM, 22 November, 2003 Kisii ko khushii mil rahii hai chaman mein Koi khush hai le ke gam-e-sahraa man mein Shab-e-wasl mein mast koi koi Gham-e-hijr barpaa kisii ke zahan mein ajiib-o-gariib hai ye duniyaa ka aalam Hain gham bhi khushii bhi nihaan ek kadam mein Sitam kaa asar koi shaayar se puuchhe Bhare hain ghazal, nazm-o-nagmaa sitam mein Sitaaron ke aage jahaan aur bhi hain Duniyaa manaatii hai maatam bharam mein hai kyaa jahaan laut aane ke kaabil Khalish us se puucchho jo soya kafan mein. MC Gupta ‘Khalish’ 22 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ६३. DIN ZINDAGII KE BAHUT KHO CHUKAA HUUN, 23 November, 2003 din zindagii ke bahut kho chukaa huun Hai jagnaa munaasib bahut so chukaa huun Na-shukraa khudaa ke diye par rahaa main Khushion ke hote bahut ro chukaa huun Thaa waazib ki paunchhuu main auron ke aansuu Bahut aansuon se main munh dho chukaa huun Shaam-e-safar mein main thak sa gayaa huun Jiine ka bojhaa bahut Dho chukaa huun Taraane jawaanii ke bhaate nahiin ab Shaayad main buudhaa bahut ho chukaa huun Khalish ab to kaanton pe chalnaa hi hogaa Khud biij jinke bahut bo chukaa huun. MC Gupta ‘Khalish’ 23 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ६४. MERI YAADO NA SATAAO, DAR GAYAA HUUN MAIN, 24 November, 2003 Meri yaado na sataao, dar gayaa huun main Mere paas na aao, bikhar gayaa huun main jawaanii mein bahut paap kiye hain maine na thukraao mujhe sanwar gayaa huun main Kiin pahle zafaaein, par ab nibaahuungaa Apnii de do wafaa, sudhar gayaa huun main Maanaa ki tumhe barbaad kiyaa hai Kar do aabaad, ukhar gayaa huun main Duniyaa se ek roz chalaa jaauungaa Miliin hain thokrein jidhar gayaa huun main Ek pal to bithaa lo pahluu mein Khalish Dosto,sab se bichhad gayaa huun mein. 24 November, 2003 ok ६५. MOHABBAT KA KHEL, 24 November, 2003 Kyaa kahiye mohabbat mein gham kitnaa padaa bhaarii Chorii chorii tum ko wo taknaa padaa bhaarii Jiite hain bahut maidaan tode hain kile ham ne Ek dil ka kilaa teraa kyon fitnaa padaa bhaarii Dil na ye rahaa apnaa, na banaa tumhaaraa hi Ye khel mohabbat kaa hai itnaa padaa bhaarii Aashiq sacchhe yuun to mitate hain mohabbat mein Par ham ko mohabbat mein wo mitnaa padaa bhaarii Mat dhuundho Khalish un ki fitrat mein wafaa jin ko pal bhar bhi hamaare sang mein ruknaa padaa bhaarii. MC Gupta ‘Khalish’ 24 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ६६. KHAT, 24 November, 2003 Khat un ka samhaal rakhaa hai Unhein khat mein dhaal rakhaa hai Aayeinge laut kar ke kabhii khayaal dil se nikaal rakhaa hai kyon ho gaye khafaa ham se saamne sawaal rakhaa hai Wo gaye to kyaa rahaa baakii Zindgii mein malaal rakhaa hai sahaare khat ke jiyoge kab tak Khalish kyon bharam paal rakhaa hai. MC Gupta ‘Khalish’ 24 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ६७. MILNAA HI UN SE GAJAB HO GAYAA, 26 November, 2003 Milnaa hi un se gajab ho gayaa Kyaa haadsaa ye ajab ho gayaa pahle farishtaa the ham jaise ab Insaan se bhi adab ho gayaa Bulaate the un ko to rahte the duur Milne ka ye shauk kab ho gayaa Bitaa na sake umr tanhaaii mein Asar pyaar ka lab-a-lab ho gayaa Payaam-e-mohabbat milaa tab hamein Katl hasraton ka jab ho gayaa Khudaa hi milaa na wisaal-e-sanam Khatm waqt jiine ka ab ho gayaa Khalish jii rahe ho kis ummiid mein Unhe gair se pyaar ab ho gayaa. MC Gupta ‘Khalish’ 26 November, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ६८. WO DIL KO CHURAAYE JAATE HAIN, 29 November, 2003 Wo dil ko churaaye jaate hain Aankhon mein samaaye jaate hain Din ko aate hain khayaalon mein Raaton ko khwaab mein aate hain Sahamii si nazar, masuum adaa Ham ko wo aur lubhaate hain Tanhaaii ke aalam mein bhi Wo apnii jhalak dikhaate hain Baatein karte hain ishaaron se Kucch kahne se katraate hain Hai pyaar magar zaahir ham par Wo karne se sharmaate hain Ikraar nahiin, inkaar nahiin Naahaq wo ham ko sataate hain Wo dekh hamaarii mushkil ko Bas dhiire se muskaate hain Ye naaz-o-adaa hasiinon ke Jii bhar ke Khalish bharmaate hain MC Gupta ‘Khalish’ 29 November, 2003 ६९. TUMHAARII AANKHEIN, 2 December, 2003 Maikada hain ke mai hain tumhaarii aankhein, kyaa kahuun kyaa shai hain tumhaarii aankhein Jii chaahe har dam in ko hi dekhaa kiye Kitnii maasuum aur nirbhay hain tumhaarii aankhein In aankhon pe shak karne waalaa jhuuthaa hai Kaun kahtaa hai vishmai hain tumhaarii aankhein Koi dekhe to jaraa in ki adaa in ki chamak Apne aap mein vismaya hain tumhaarii aankhein Jaage rahte ho raaton ko kin khayaalon mein Kyon bhaarii is subah hain tumhaarii aankhein Khalish paak mohabbat ka aitbaar karo giilii bin wajah hain tumharii aankhein MC Gupta ‘Khalish’ 2 December, 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ७०. DIID-E-NAM, 2 December, 2003 Sahraa mein kaise bhuul is alam ko paaoge Jaaoge jidhar chaar suu tum ham ko paaoge Le ke kisii ka dil kiyaa hai aap ne barbaad Dil se kabhii nikaal na is kham ko paaoge Pahunchegi sadaa tuutne ki dil jo tum talaq Badhtaa huaa har roz apne gham ko paaoge Dil ke bagair jii na paayegii ye jindaa laash Lautoge tum to niklaa huaa dam ko paaoge Marne pe to aaoge Khalish phuul chadhaane Takte tumhaarii raah diid-e-nam ko paaoge. MC Gupta ‘Khalish’ 2 December, 2003 ७१. KYAA DIYAA, 4December, 2003 Maulaa ne mujh ko uthaa diyaa Dil mein chiraag jalaa diyaa Main kho gayaa thaa khwaab mein Acchha kiyaa jagaa diyaa Bhatkii huii nigaah ko Sahii raastaa dikhaa diyaa Duniyaa ki chakaa-chaundh ko Merii nazar se hataa diyaa Rangiin jahaan se pher kar Dil ko khudaa mein lagaa diyaa Bande khudaa ke hain sabhii Ehsaas dil ko karaa diyaa Jaraa soch tuu ab aiye Khalish Duniyaa ko tuune kyaa diyaa. 4-12-03 ७२. TANHAA , 5 December, 2003 Tanhaa tanhaa rahtaa huun Chup chup sab gham sahtaa huun Sunane waalaa koii nahiin Kucch na jubaan se kahtaa huun Main yaadon ke daryaa mein Sote, jagate bahtaa huun Pal bhar ko to aa jaao Ek jhalak bas chahtaa huun Baahar se khaamosh magar Bhiitar se main dahtaa huun Tuutii Khalish imaarat huun Kaun kahe kab dhahtaa huun. MC Gupta ‘Khalish’ 5 December 2003 ७३. JAA RAHAA HUUN, 9 December, 2003 Duniya se rukh modtaa jaa rahaa huun Duniya ko main chhodta jaa rahaa huun Rangiin fizaa se na ab waastaa hai Libaas-e-khudaa odhtaa jaa rahaa huun Sabhii dostii, rishte naate hain jhuuthe Inhe din-ba-din todtaa jaa rahaa huun Naataa ruuhaanii hi hai ek sacchhaa Naataa-e-ruuh jodtaa jaa rahaa huun Khalish chand din zindgii ke bache hain Manzil ko main daudtaa jaa rahaa huun MC Gupta ‘Khalish’ 9 December 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ७४. APNE BHI BEGAANE NAZAR AATE HAIN, 9 December, 2003 Apne bhi begaane nazar aate hain Yaad kucch bhuule bashar aate hain zahan mein jo kabhii kiye ham ne Un ke saath safar aate hain Jo jawaanii mein baayein haath kiye Aaj wo kaam zabar aate hain Bhejaa kaasid ko aaj un ke paas Jaane kyaa paigaam-o-khabar aate hain Takht-e-taaus ke maalik the aaj Bhatakte dar-ba-dar aate hain Umr bhar jo Khalish thukraayaa kiye kabr par diid-e-tar aate hain. MC Gupta ‘Khalish’ 9 December 2003 ७५. HAR WAQT MOHABBAT KE HOTHON PE TARAANE HAIN, 10 December, 2003 Har waqt mohabbat ke hothon pe taraane hain Wo mere diwaane hain ham un ke diwaane hain Andaaz-e-adaa dekhe koi un ki mohabbat ke Milte hain magar aise jaise ki begaane hain Gam se hai bharii duniyaa, ghutatii hain yahaan saansein Do pal ye mohabbat ke jiine ke bahaane hain Tum dil se mere khelo tuute to nahiin parwaah Zakhm aur mohabbat ke is dil ko uthaane hain Daaman na chhudaao tum rangiin abhii ham ko in pyaarii si aankhon mein kucch khwaab jagaane hain Kyuun chhodein Khalish apnii khuu un ki jafaaon se Maana ki wafaaon ke jazbaat puraane hain. MC Gupta ‘Khalish’ 10 December 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ७६. DARD SIINE MEIN BASAA BAITHE HAIN, 10 December, 2003 Dard siine mein basaa baithe hain Ham unhe apna banaa baithe hain Paas pal bhar ko mere aa jaayein Aas har dam ye lagaa baithe hain Nazar aate hain har taraf wo yuun Jaise palkon mein bithaa baithe hain Kucch nahiin suujhtaa hai ab ham ko Wo hamein khud se churaa baithe hain Har waqt hain nashe mein ham Mai wo aisii pilaa baithe hain diiwaangii mein sar-e-aam Khalish Kalaam-e-ishq sunaa baithe hain. MC Gupta ‘Khalish’ 10 December 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ७७. DIL-SARD NAZAARE DEKHE HAIN, 10 December, 2003 Dil-sard nazaare dekhe hain Dhah jaate sahaare dekhe hain Do din ki mohabbat mein lut gaye Jo khwab hamaare dekhe hain kucch aur andheraa kar jaayein Ek pal ke sharaare dekhe hain Dushman bhi sharmaayein jin se Doston ke ishaare dekhe hain Jo duur se hi lalchaate hain Wo chaand sitaare dekhe hain Taa-umr jinhe ham puuraa kiye Wo naaz tumhaare dekhe hain Jinke dil mein hai zahar Khalish Wo jaan se pyaare dekhe hain. MC Gupta ‘Khalish’ 10 December 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 एद मुझे कोई शै अब लुभाती नहीं है अदा कोई दिल अब चुराती नहीं है यहां खोखली महफ़िले- रंग-ओ-बू में हकीकत नज़र कोई आती नहीं है ज़माने के दस्तूर सब ऊपरी हैं सुकूं कोई रूह आज पाती नहीं है बियाबान है ये घटा भी यहां पर बिना बात बारिश लुटाती नहीं है कह दूं खलिश अलविदा इस जहां को दिल से तमन्ना ये जाती नहीं है. ७८. मुझे कोई शै अब लुभाती नहीं है -– ईकविता को प्रेषित--RAMAS मुझे कोई शै अब लुभाती नहीं है अदा कोई दिल अब चुराती नहीं है यहां खोखली महफ़िले- रंग-ओ-बू में हकीकत नज़र कोई आती नहीं है ज़माने के दस्तूर सब ऊपरी हैं सुकूं कोई रूह आज पाती नहीं है बियाबान है ये घटा भी यहां पर बिना बात बारिश लुटाती नहीं है कह दूं खलिश अलविदा इस जहां को दिल से तमन्ना ये जाती नहीं है. * Can be viewed at http://www.writing.com/main/view_item/item_id/1057265 महेश चंद्र गुप्त खलिश १५ दिसम्बर २००३ ****** Mujhe koi shai ab lubhaatii nahiin hai Adaa koi dil ab churaatii nahiin hai Bharam mein rahaa main bahut rang-o-buu ke Hakiikat nazar in mein aatii nahiin hai Zamaane ke dastuur sab khokhale hain Sukuun in se ab ruuh paatii nahiin hai Falak hai ye sahraa ka, naahaq yahaan koi Ghataa apnii baarish lutaatii nahiin hai Kah doo^ khalish al-vidaa is jahaan ko Tamannaa ye ab dil se jaatii nahiin hai * Can be viewed at http://www.writing.com/main/view_item/item_id/1057265 M C Gupta ‘Khalish’ 15 December 2003 ************ Subject: Re: Review of Item #1057265 Date: 03:34:27 06/13/2006 From: Safi (1) Namaste Gupta ji, It’s really a beautiful composition . I especially like these two lines- Falak hai ye sahraa ka naahaq yahaan koi, Ghataa apni barish lutaati nahin hai. I do know Hindi. After all I am an Indian. I am from Moradabad, Uttar Pradesh. Could I know your location? Safi Anwer Yani ७९. MAREINGE TO JIYENGE, 29 December, 2003 Aashiq jo mohabbat mein mareinge to jiyenge Dilbar ke agar dil mein rahenge to jiyenge Puuchho to wo kahate hain jiyeinge to milenge Apnii to ye zidd hai ki milenge to jiyenge Jiine ko to duniyaa mein sabhii jiite hain yaaro Muskaa ke wo jiine ko kaheinge to jiyenge In pyaar ki raahon mein nahiin hansnaa hai mumkin Kucch chot agar dil pe saheinge to jiyenge Rukhsat ke waqt kaa wo samaan kaise bhulaa duun Wo yaad Khalish dil mein rakheinge to jiyenge. MC Gupta ‘Khalish’ 29 Dec 2003 www.writing.com/authors/mcgupta44 ८०. ARMAAN, 9 January 2004 the bahut armaan dil mein rah gaye jo bache wo aansuon mein bah gaye ham hii the jo ek tere pyaar mein Har jafaa manind-e-wafaa sah gaye Kab talaq juujhoge ham se naatwaan Gam mere kaanon mein aa kar kah gaye Khwaab kyon tum ne bune aise Khalish Jhonke se barbaadiyon ke dhah gaye. MC Gupta ‘Khalish’ 9 January 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 ८१. AA JAAO, 25 January 2004 yaadon se jii bhartaa nahiin tum paas aa jaao tum se bichhud ke huun bahut udaas aa jaao tum kyaa gaye khushiyaan bhi merii saath le gaye ab hai nahiin mujh ko kisii ki aas aa jaao taktii hain suunii raah jagte mein meri aankhein sote mein aate khwaab hain tum kaash aa jaao Kab tak kareinge raat-o-din na-khatm intezaar Ham zindagii se hain bahut hataash aa jaao Mahruum rang-o-buu se hain gulshan ke saare phuul Ham bhi tumhaare bin hain jindaa laash aa jaao Diivaanagii ka aur kyaa sabuut chaahiye Dekho Khalish meraa phataa libaas aa jaao. MC Gupta ‘Khalish’ 25 January, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 ८२. SHUKRIYAA, 25 January 2004 Ham ek baar un ke jo nazdiik aa gaye Sochaa kiye ham pyaar ki manzil ko paa gaye Manzil nahiin ye safar ki thi mahaz ibtadaa Baadal gamon ke do kadam chalane pe chhaa gaye Banaayaa mahal tha pyaar ka palkon se chun ke khwaab, Zamaane ke sitam aashiaanaa meraa dhaa gaye Kyaa khuub roshan ziist merii kar ke chaar din Dil ka chiraag zindagii bhar ko bujhaa gaye Jaanaa tha un ko, pyaar se karte khudaa ahaafiz Hai ye malaal ban ke kyon wo bewafaa gaye Hai un ka Khalish laakh tah-e-dil se shukriyaa Wo jaate-jaate pyaar ki fitrat sikhaa gaye. MC Gupta ‘Khalish’ 25 January, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 ८३. AAYE HAIN SAMJHAANE LOG, 26 January 2004 Aaye hain samjhaane log Phir mujh ko bahkaane log Merii suunii sii aankhon mein Jhuuthe khwaab jagaane log Chiknii chupdii si baton se Phir mujh ko bharmaane log Jin ko ham ne apnaa samjhaa Wo nikle begaane log Daad kabhii ham ko dete the Ab dete hain taane log Kar dete hain chhotii-chhotii Baaton ke afsaane log Paak mohabbat ki raahon se Aaye hamein hataane log Kahte hain ham haar gaye hain Kaise hain diiwaane log Aaj mujhe kyon aamaadaa hain Gunahgaar thehraane log. Suulii par ek aur masiiha Laaye Khalish chadhaane log MC Gupta ‘Khalish’ 26 January, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 Ed तुमने कितनी देर लगा दी आने में अब तो कुछ ही देर बची है जाने में साथ तुम्हारा मिलता ये तकदीर न थी खिल जाते दो फूल मेरे वीराने में क्या वो दिल का दर्द किसीका समझेंगे खुशी जिन्हें मिलती है सिर्फ़ सताने में पीना, न पीना दोनों नामुमकिन हैं तुमने ऐसा ज़हर दिया पैमाने में दुश्मन को भी ये मंज़िल न हासिल हो आप न झिझके हमें जहां पर लाने में. ८४. तुम ने कितनी देर लगा दी आने में—ईके को ५-११-०६ को भेजी, बिना तिथि की गज़ल, २६ जनवरी २००४--RAMAS तुमने कितनी देर लगा दी आने में अब तो कुछ ही देर बची है जाने में साथ तुम्हारा मिलता ये तकदीर न थी खिल जाते दो फूल मेरे वीराने में क्या वो दिल का दर्द किसीका समझेंगे खुशी जिन्हें मिलती है सिर्फ़ सताने में पीना, न पीना दोनों नामुमकिन हैं तुमने ऐसा ज़हर दिया पैमाने में दुश्मन को भी ये मंज़िल न हासिल हो आप न झिझके हमें जहां पर लाने में. महेश चन्द्र गुप्त खलिश २६ जनवरी २००४ KITNII DER LAGAA DII TUM NE AANE MEIN—old version kitnii der lagaa dii tum ne aane mein ab to kucch hi der bachii hai jaane mein Saath tumhaaraa miltaa ye taqdiir na thii Khil jaate do phuul mere viiraane mein Dil ka dard kisii ka kyaa wo samjheinge Jinhein khushii miltii hai sirf sataane mein Hai na-mumkin piina bhi na piinaa bhii Zahar diyaa aisaa tum ne paimaane mein Mile na dushman ko bhi Khalish mukaam aisaa Kasar na chhodii jahaan aap ne laane mein. MC Gupta ‘Khalish’ 26 January, 2004 ८५. MAUT KI RAAHON SE YUUN UMR GUZARTII HAI, 4 Feb, 2004 maut ki raahon se yuun umr guzartii hai Har raat merii tanhaa ro-ro ke guzartii hai chehraa meraa yaaro bas ek lifaafaa hai Kyon sab pe karein zaahir kyaa dil pe guzartii hai Taaron se nikaltii hai jhankaar bahut dilkash Hai ek kayaamat jo taaron pe guzartii hai Ye zindagii merii hai par bas mein nahiin mere Raahein wo paraaii hain ye jin se guzartii hai Ek sard havaa hai jo yadon kii vaadii mein Merii tanhaaii mein rah rah ke guzartii hai Khud dekhtii hain apne jab tuute hue sapne Dhundhalii aankhon se Khalish shabnam si guzartii hai. MC Gupta ‘Khalish’ 4 Feb, 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 ८६. JIITAA HUUN JIINE KI MUJHE KUCCH AAS NAHIIN HAI, 5 Feb, 2004 Jiitaa huun jiine ki mujhe kucch aas nahiin hai Dil ke dhadakne ka mujhe ahsaas nahiin hai Ta-umr tamannaaon ko ham zabt yuun kiye Hain har suu nazaare, nazar mein pyaas nahiin hai Is kadr na-ummiid ho kar kyon jiyein yaaro Goya ki maksad jiine ka kucch khaas nahiin hai Ham de chuke hain apnaa dil-o-jaan to yaaro Ye chhoD kar ashaar ab kucch paas nahiin hai Is daur-e-jamaan mein sabhii nange hain dosto Is shahar mein saliika-e-libaas nahiin hai ChhoDo Khlaish ye pyaar aur ulfat ke silsile Tum ko jahaan mein ab mohabbat raas nahiin hai. MC Gupta ‘Khalish’ 5 Feb., 2004 www.writing.com/authors/mcgupta44 ८७. KHUDAA HAAFIZ, 22 Feb, 2004 jaane se pahale apane dil ki baat to kahate jo dil me^ chhupaa kar rakhe jazbaat to kahate ab tum nahee^ ho paas kewal yaad hai baakee ham tanahaa dil ke tum se ye haalaat to kahate waqt-e-rukhsat gufta-goo pal bhar kar paaye haafiz khudaa tumhaaraa ye fiqaraat to kahate. ab door jaa base ho sitaaro^ kee god me^ hote Khalish jo paas mulaakaat ko kahate. MC Gupta 22 Feb 2004 ८८. HAM JAANATE HAIN TUM KO HAM SE PYAAR NAHIIN HAI, 27 Feb, 2004 Ham jaanate hain tum ko ham se pyaar nahiin hai Ye rishtaa ham ko phir bhi naagawaar nahiin hai Dil de diyaa hai ham ne tum ko pahlii nazar mein dil tum bhi apnaa doge aitbaar nahiin hai ye dil ka maamlaa hai nahiin rasm-e-baazaar dil dene waalaa koii khariidaar nahiin hai jab tak dhadak rahaa hai dil dekheinge terii raah jo khatm ho jaaye wo intezaar nahiin hai kitnaa chuupaayaa raaz-e- mohabbat na chhup sakaa main kaise kah duun dil ye be-karaar nahiin hai har waqt un ki yaad mein rahtii hai ek Khalish wo laakh kahein un ko ham se pyaar nahiin hai. MC Gupta 27 Feb 04 ८९. TUM NE KYAA HAAL YE GAMGIIN BANAA RAKHAA HAI, 29 Feb, 2004 Tum ne kyaa haal ye gamgiin banaa rakhaa hai Bolo kyaa ashq bahaane mein bhalaa rakhaa hai Zindagii sirf hansiin khwaab sii guzarii hai kahiin Gam to haathon ki lakiiron mein likhaa rakhaa hai Kaun hai jis ne zamaane mein nahiin gam paayaa Kis ko taqdiir ne is shai se judaa rakhaa hai Ham ne har haal mein jiine ki kasam khaaii hai Gam ki tasiir ko is dil se bhulaa rakhaa hai Nahiin parwaah Khalish ham ko apne gam kii Gam duniyaa ka is dil mein chhupaa rakhaa hai. MC Gupta 29 Feb 2004 ९०. LOG KAHTE HAIN MERE DIL MEIN KAHIIN PYAAR NAHIIN, 29 Feb, 2004 Log kahte hain mere dil mein kahiin pyaar nahiin Kaise samjhaauun main ulfat ka talabgaar nahiin Mere dil ne bhi kabhii dii thi mohabbat ki sadaa Maine chaahat ko talaashaa tha baazaar nahiin Mere sar pe bhi junuun ishq ka barpaa tha kabhii Main bhi majnuu tha kabhii is se inkaar nahiin Mere dil ne bhi rangiin fazaaein dhuundhiin Meri kismat mein hi likhii thi bahaar nahiin Bade nazdiik se maine hai mohabbat dekhii Rasm-e-baazar hai ye is mein kahiin pyaar nahiin Tum mujhe ishq ke paigaam sunaate kyon ho Ishq wo shai hai mujhe jis se sarokaar nahiin Zindagii kaa ye safar ab to Khalish tanhaa hai Ham-safar kii is raah mein darkaar nahiin. MC Gupta 29 Feb 2004 ९१. KUCCH GUNAAHON KI MUJHE AAJ SAZAA MIL JAAYE, 1 March 2004 Kucch gunaahon ki mujhe aaj sazaa mil jaaye In nigaahon ki mujhe aaj razaa mil jaaye Main mukhaatib huun zafaaon ka silaa paane ko Faislaa aap ka ho mujh ko kazaa mil jaaye Katii hai justjuu mein zindagii ab tak merii Kabhi to wasl ki rangiin fizaa mil jaaye Waqt-e-rukhsat to aa gayaa hai magar Ek lamhaa milne ka mazaa mil jaaye Meri kismat mein Khalish teri baharein na sahii Nahiin kucch aur tere dar se khizaa mil jaaye MC Gupta 1 March 2004 ९२. KYUUN MERII ZINDAGII BEMAANII HAI, 1 March 2004 Kyuun merii zindagii bemaanii hai Kyaa mere dil ko pareshaanii hai Jo bhi chaahaa wahii chhinaa mujh se Zindagii kii yahii kahaanii hai Justjuu phir bhi us ki kartaa huun Jo shai ab talaq begaanii hai Nahiin hai zurm karnaa khwaahish to Binaa khwaahish nahiin jawaanii hai Raho chalte zaanib-e-manzil Khalish chalnaa hi zindganii hai. MC Gupta 1 march 2004 ९३. MUJHE AB TUM BHULAA DENAA, 4 March 2004 Kabhii na ho sake mere, mujhe ab tum bhulaa denaa Bahut ab duur jaate hain, na milne ki duaa denaa Rukuun main kisliye tum ko zaruurat hai nahiin merii Bitaaye saath jo din yaad un kii tum mitaa denaa Meri diiwaangii ne dii tumhein taqliif to lekin mere piichhe se ab tum zindagii hans kar bitaa denaa Nahiin mujh se nibaah paaye gilaa is ka nahiin mujh ko Kisii ka lo agar dil ab to tum us se nibaah denaa Bahut takliif hotii hai Khalish jab tuutataa hai dil Mohabbat ka nahiin aisaa kisii ko tum silaa denaa. MC Gupta 4 march 2004 ९४. SAMJHAAYAA MUJHE DIL SE TUM KAHTE THE JAAOGE, 5 March 2004 Samjhaayaa mujhe dil se tum kahte the jaaoge Roko chaahe khud ko in raahon pe jaaoge samjhaa tha nahiin main hi tha dil pe gumaan jyaadaa Kyaa khabr thi tum ek din dil hi le jaaoge Kyon mere kariib itnaa aate ho mere dilbar Dar dil ko ye lagtaa hai tum chhod ke jaaoge Saaye mein gamon ke hi ham jiite rahe ab tak Kyaa jaanate the khushiyaan itnii de jaaoge Is shai pe mohabbat ki kucch jor nahiin chaltaa Hoshiyaar Khalish ek din tum iimaan se jaaoge. MC Gupta 5 March 2004 ९५. VAADAA, 5 March 2004 Mujhe lagtaa hai dar meri mohabbat tuut na jaaye Jo hamdam paayaa hai maine wo mujh se ruuth na jaaye Use paa to liyaa hai par andeshaa dil mein rahtaa hai Kahiin mahbuub meraa mujh se ek din chhut na jaaye Ye daulat pyaar ki maine badii mushkil se paayii hai Koi dhoke se mujh se yaar meraa luut na jaaye Kahiin aisaa na ho dilbar ka mere wo hasiin vaadaa Umr bhar saath rahne ka kahiin ho jhuuth na jaaye. Bharosaa hai mujhe vaade pe us ke par kahiin meraa Khalish is intezaar mein mit wazuud na jaaye. M c Gupta 5 march 2004 ९६. AA PHIR SE MERAA DARD BADHAANE KE LIYE AA, 6 March 2004 aa phir se meraa dard baDhaane ke liye aa Suurat mujhe ek bar dikhaane ke liye aa Maangeinge na ab terii zafaaon ka ham hisaab Kucch pal tuu mere saath bitaane ke liye aa Ham jaante hain tujh ko nahiin ham se mohabbat Jhuuthii mohabbat ham se jataane ke liye aa Hai sitm-e- judaii har ek sitm se baDh kar Aa mujh pe sitm aur bhi dhaane ke liye aa Kis kis ko bataayeinge kyon tuu ham se khafaa hai Ruswaaii aur ilzaam mitaane ke liye aa Har khwaahish-o-farmaan ham tasliim kareinge Ek baar Khalish hukm chalaane ke liye aa. MC Gupta 6 March 2004 ९७. MAANAA KI HAM SE AAP KO AB PYAAR NAHIIN HAI, 6 March 2004 Maanaa ki ham se aap ko ab pyaar nahiin hai Kyaa ab bachaa kucch ham se sarokaar nahiin hai Haq dil pe aap ke na ab jataayeinge kabhii Milnaa kabhii kabhii to nagavaar nahiin hai Kyuun ham se is kadr muhn modte hain aap Itnaa to sang baithnaa dushwaar nahiin hai Gaahe bagaahe chand lamhe diijiye ham ko Kyaa dil pe apne aap ko aitbaar nahiin hai Kaise samajh lein tuut gaye saare hasiin rishte Kismat mein kyaa ab aap ka diidaar nahiin hai Hai meraa chaaraagar siwaai aap ke ab kaun Kyaa dil ye lagtaa aap ko biimaar nahiin hai degaa panaah kaun kis ke dar main jaauun ab jab aap saa bhi meraa khariidaar nahiin hai Angulii pakad paunchaa pakdne ka na kiije dar Kyaa aap pe kucch meraa akhtiyaar nahiin hai. M C Gupta 6 March 2004 ९८. AAP NE HAM KO KYON DIIWAANAA BANAAYAA HAI, 15 March 2004 Aap ne ham ko kyon diiwaanaa banaayaa hai Shamma pe jalne ko parwaanaa banaayaa hai Aankhon mein merii ab to bastii hain terii aankhein suurat ka mujhe apnii mastaanaa banaayaa hai Ab kaabuu nahiin dil par hai aisaa ajab aalam Ham ko khud apne se begaanaa banaayaa hai jab se jujhe dekhaa hai ham bhuul gaye piinaa nazron ko terii ham ne maikhaanaa banaayaa hai sad ke main tere gam ke yuun Khalish mohabbat ne duniyaa ke sabhii gam se anjaanaa banaayaa hai MC Gupta 15 March 2004 ९९. TERII YAAD DIL MEIN LIYE JAA RAHAA HUUN, 15 March 2004 Terii yaad dil mein liye jaa rahaa huun Gunaah khubsuurat kiye jaa rahaa huun Abhii gam judaayii ka sahnaa hai baakii Tujh se bicchuD kar jiye jaa rahaa huun Ruswaa na hoge ye waadaa hai meraa HoThon ko apane siye jaa rahaa huun Kaabil tere pyaar ke ban na paayaa Sharamsaar khud par hue jaa rahaa huun nahiin ab bachii koii ummiid baakii Zahar zindgii ka piye jaa rahaa huun Khalish tuu salaamat rahe ho jahaan bhii Duaa tujh ko apnii diye jaa rahaa huun. MC Gupta 15 March 2004 १००. NA TUJH KO APNAA KAH PAAYE, 15 March 2004 Na tujh ko apnaa kah paaye, na ham tere hii ho paaye mil kar bhii na hans paaye, bicchud kar bhii na ro paaye Tere khyaalon mein yuun bhuule, tere khwaabon mein yuun khoye subah ko ham na jag paaye, na ham raaton ko so paaye yaadein pyaar kii daulat hain lekin ye hasiin daulat Na ham dil mein hii rakh paaye, na is ko dil se kho paaye Mohabbat mein bahut armaan pale the kabhii ham ne Na un ko dafn kar paaye na sapnon mein sanjo paaye Nahiin shikwaa Khalish ham ko nibaah ham se na paaye ham Kare aabaad tuu us ko tujhe kismat se jo paaye. MC Gupta 15 March 2004 |