Kisi majhdhaar ko mai tair rhi hu...
Koi bhavar andar kheechta hai..
Khi se to taakat ikattha hoti hai..
Par koi hai jo use har pal reesta hai..
Jaan adhuri si reh jati hai..
Aur aas bhi bikhri aur khaali...
Kis se seekhna tha mujhe is taakat ko rok k rkhna..
kisne bataya ye sahas aur kayarta ka bhed smjhna...
Kya sch m tair kr ye dariya kbhi paar ho pati h?
Har subh ki jo shaam hoti h...kya vo kbhi thoda thehar bhi jati hai?
Aur ye leharein jo pal pal badal jati hai..
Kya inhe bhi sahajta se sath lekr par kiya ja skta hai?
Ab khi jb leharo se hi dar lagta hai..
To batao kis nadi se ho kr rasta asaan hota hai?
Satya to ye hai ki is safar mein ekant asambhav hai..
Kyuki dariya to leharo ki hi kahani hoti hai..
Aur vo saagar jaha pohochna hai..
Kya vha is kayar jaan ko sukoon rehta hai?
Pata to hai ki leharein vha bhi hoti hai...
Par ummeed bhi hai thodi si...ki tb tk in nadiyo se leherain dabana seekh liya hoga..
All Writing.Com images are copyrighted and may not be copied / modified in any way. All other brand names & trademarks are owned by their respective companies.
Generated in 0.07 seconds at 5:55pm on Nov 23, 2024 via server WEBX1.