\"Writing.Com
*Magnify*
SPONSORED LINKS
Printed from https://writing.com/main/view_item/item_id/1853058-Niyati
Item Icon
Rated: E · Short Story · Drama · #1853058
kabhi kabhi hamaare haatho main kuch nahi hota aur hum niyati se bandhe hoti hain.

Ishita bahut sundar, nek aur jahin ladki thi. Lekin kahte hain na ki chaand main bhi daag hota hai. Thik issi tarah Ishita main bhi ek daag tha. Bachapan ek accident ki wajah se uske paair main ek nuksh aa gaya tha. Woh toda langda kar chalti thi. Isi kami ke chalte Ishita ke vivah main adchane aa rahi thi.
Yon toh Ishita ek amir parivar ko belong karti thi aur kai log paison ke lalach main Ishita se shaadi karne ke liye bhi tyar they. Par aise sabhi rishton ko Ishita thukra diya karti thi. Uska ka kahna tha ki job bhi mujhse shaadi kare woh keval mujhse shaadi kare meri daulat se nahi. Woh mujhe meri khamiyon ke saath hi sweekar kare. Main kisi par bojh nahi ban na chahti aur na hi ye chahti hoon ki koi mujh par taras khaye. Ishita ke in vicharoon ke chalte kai log use ghamandi kaha karte they.
Ishita logon ki iss rai se door apna jeewan ji rahi thi. Gharwalon ne bhi dheere-dheere uski shaadi ka khyal apne dimag se nikal diya tha. Ishita Bangalore main ek IT company main kaam karti thi. Ek din uski company main ek ladke Paarth ne join kiya. Aur pahle hi din uski bhidant Ishita se ho gayi.
Darasal Paarth ek SMS padta hua office main enter kar raha tha aur Ishita kuch files liye office se bahar nikal rahi thi. Paarth Ishita se takra gaya aur Ishita ki sabhi files gir gayi. Ishita ne Paarth ko jidak diya aur apni files uthakar bahar chali gayi. Dono ki iss bidant main dono ke cell phones badal gaye. Phone ka ek hi model hone ke kaaran dono ko pata hi nahi chala.
Kuch der baad dono ko ek-doosre ko phone aane lage. Ishita ka phone jo ki Paarth ke haathon main tha baja, paart ne phone uthaya toh saamne se aawaj aai ki Ishita jaldi pahuncho main wait kar raha hoon. Paarth ne wrong number kah kar rakh diya. Paarth ka phone baja saamne se awaj aai papa kaam finish karke jaldi ghar aao I am waiting, Ishita ne wrong number kahkar rakh diya.
Ishita ka phone fir baja Paarth ne hello kaha toh aawaj aai Ishita kahan hai use phone par bulao aur tum kaun ho ? Aur Ishita ka phone tumhaare paas kyon hai. Paarth bola wrong number main kisi Ishita ko nahi jaanta aur ye phone mera hai. Udhar papa kahan hai, papa ko bulao, aap kaun hain? Aapne papa ka phone kyon pick kiya ? Aapko nahi pata ki doosron ka phone pick nahi karte, bad manners. Kya apko aapki teacher ne nahi sheekhaya. Ishita boli erre beta ye wrong number hai, ye mera phone hai aur maine apna hi phone uthaya hai.
Idhar Paarth ka phone fir baja, hello, isita kahan hai? Erre bhai wrong number hai apna number dial karne se pahle check kyon nahi karte. Udhar se awaj aai Sir maine check karke hi dial kiya hai. Roj isi number par kam se kam das baar phone karta hoon. Aaj tak toh kabhi wrong nahi hua. Khair tum kahte ho toh fir check kar leta hoon. I am sorry.
Ab Paarth ko doubt hua ki jaroor ghadbad hai. Usne phone ko thik se check kiya toh use gadbadi ka ahsaas hua. Idhar Ishita ke paas ek baar fir, papa kahan ho kis ko phone de rakha hai. Beta aapne fir se wrong number milaya hai. Maine wrong number nahi milaya hai, yeh phone papa ka hai. Aap unhe bulao mujhe aap se baat nahi karni. Agar papa ne hamen das minute main phone nahi kiya toh hum unse katti ho jayenge aur fir phone cut gaya.
Ishita err aaj ye wrong number kyon aa raha hai. Usne phone ko thik se dekha toh use samajh main aa gaya ki ho na ho ye phone usi takkar main badal gaya hai. Ishita ne apne phone par phone kiya ghanti baji aur phone Paarth ne uthaya. Woh aisa hai ki hamaare phone badal gaye hain. Mujhe mera phone wapas kar dijiye. Aur apna phone wapis le jaiye.
Paarth ne kaha ki aap kahan ho? Ishita ne kaha ki abhi toh main ek meeting main hoon. 12 baje meeting khatam hogi aap 12.30 tak glaxy ke office main pahuch jao. Main tumhara wahin wait karoongi. Paarth ne kaha ki thik hai main pahunch jaoonga. Erre haan ek chooti bachchi ka phone aaya tha. Usne 10 minute main phone karne ke liye kaha hai. Paarth bola haan Anushka ka hoga meri beti.
Dopahar 12.30 tak dono ek doosre ke phone attend karte rahe aur note karte rahe. 12.30 par Paarth glaxy ke office pahuncha. Ishita Paarth ka intjaar kar rahi thi. Paarth bola hello mera naam Paarth hai. Ishita ne muskuraate hue kaha ki jaanti hoon. Paarth thodi hairrani se Ishita ki ore dekhne laga. Erre bhai pichle do ghanto main pachas phone receive kiye hain. Naam toh jaanugi hi itna kahkar dono hansne lage.
Paarth ne sorry kaha aur phone exchange karke wapis chala gaya. Agle din boss ne Paarth ko officially sabse introduce karwaya. Inka naam Paarth hai aur ye delhi se aaye hain. Inhone as a software engineer hamaari firm ko join kiya hai. Paarth kaafi hansmukh aur milansaar ladka tha. Usne office main sab se jald hi dosti kar li. Iske viprit Ishita ki reputation office main kuch jyada achchi nahi thi. Log use ghamandi samjha karte they. Lekin Paarth ki Ishita se bhi hi- hello hua karti thi.
Ek din lunch hour main sab bathe lunch kar rahe they. Paarth bhi wahin baitha hua tha. Ishita lunch nahi kar rahi thi. Paarth ne kaha ki aao Ishita tum bhi lunch kar lo. Ishita boli nahi aaj mera fast hai. Aap log kar lo ye kahkar woh bahar nikal gayi. Tabhi wahan baithe ek ladke ne kaha haan bhai rahis jaadi hamaare saath lunch kyon karegi. Paarth bola chodo yaar hoga uska fast. Kham-kham tum us bechari ki har baat ko galat le lete ho. Bechari aur ye.
Tumhne dekha nahi hai iss ghamandi ko, woh toh langdi hai tab ye haal hai agar dono pair hote toh pata nahi kya haal hota. Paarth bola tum un logon main se ho jinhe chaand main daag dhikhta hai chaand ki khubsoorti nahi. Mujhe toh aaj tak uska langda pair kabhi nahi dikhai diya. Kitni sundar hai ye kahkar Paarth chup ho gaya. Tabhi awaj aai kyon bhai kya aapka dil aa gaya hai in par. Sab Paarth ko kheenchne lage.
Raat ka samay Ishita apne bistar par karwaten le rahi ti use neend nahi aa rahi thi aaj din main usne Paarth ki kahi hui sabhi baaten sun li thi. Woh bahut khus thi ki aaj pahle baar kisi ne uski taarif ki aur woh bhi baigair kisi kintu aur parantu ke. Jaise taise raat kati, subah Ishita apne aap ko aaine main dekh rahi thi aur uska sajne-swarne ka mann kar raha tha. Woh saj-sanwar kar office pahunchi aaj sab use hi dekh rahe they aur use praise kar rahe they. Par Ishita ko kisi aur ki nigahon ka intjaar tha.
Uski mulakat Paarth se hui. Paarth ne use dekhte hi kaha ki aaj koi special day hai Ishita boli kyon toh bola aaj bahut hi different I mean pretty dikh rahi ho. Ishita kuch nahi boli. Ab Ishita ne sajna sanwarna shuru kar diya. Use Paarth bhi achcha lagne laga use Paarth ka milansaar nature bhane laga tha aur woh us ke saath khul kar baat karne lagi. Dheere- dheere dono main achchi dosti ho gayi. Paarth ki dosti ka asar ab Ishita par bhi aane laga tha. Woh dheere-dheere sab se friendly hone lagi thi.
Ek din office main ek party thi aur sab ko apni family ke saath aana tha. Paarth aam taur par parties attend nahi karta tha aur Ishita ka bhi yahi haal tha par us din Ishita ne hi Paarth ko aane ke liye insist kiya aur kaha ki parties toh main bhi attend nahi karti par ek baar toh tumhe apni family ke saath aana hi chahiye. Office walon ko bhi tumhaari family se milne ka mauka milega. Kuch na-nukar karne ke baad Paarth maan gaya. Us din jab Paarth apni beti Anushka ke saath akela party main aaya toh sab ko pata chala ki Paarth ek divorci hai aur apni beti Anushka ke saath rahta hai.
Paarth ne Anushka ki mulakaat Ishita se karwai. Anushka boli achcha toh aap hi wrong number wali aunty hain. Papa hamesha aapki baaten karte hain. Ishita Paarth ki ore dekhne lagi. Paarth bola iski baton main mat jaao ye iska takiya kalam hai. Anushka boli papa takiya kalam kya hota hai. Paarth bola kuch nahi. Ishita Anushka se baat karne lagi aur jald hi dono ek doosre ke saath ghul mil gaye.
Ishita ne Paarth se Anushka ki maa ke baare main poocha toh Paarth ne bataya ki ab hum saath nahi rahte. Anushka ki ma delhi main rahti hai. Unka divorce ho gaya hai. Paarth aur alka ki ek arranged marriage thi. Dono ke vichaar bilkul bhi naih milte they. Dono ka jindagi ko dkhene ka najariya bilkul alag tha. Alka ek aajad khaylon ki ladki thi. Use ghumne-firne aur partis ka bada shauk tha. Woh apna har samay ghar se door doston ke saath bitana chahti thi aur Paarth no ye sab pasand nahi tha. Woh jyadatar samay ghar waloon ke saath unke beech main bitana chata tha. Iss baat ko lekar dono main bahut jhagde hote they.
Alka ko privacy pasand thi aur woh alag ghar le kar rahna chahti thi jabki Paarth ko ek joint family main ek saath rahna pasand tha. Paarth ne Ishita ko bataya ki maine alka ke hisaab se apne aap ko badlne ki bahut koshish ki par kamiyab nahi ho paaya. Alka khus rahe isliye maine apne ghar walon ko chod kar alag ghar le liya. Par uska bhi koi fayda nahi hua. Isi dauran alka ne conceive kar liya. Main ye sun kar bahut khus tha ki main baap ban ne wala tha par alka ye bachacha nahi chahti thi. Who abortion karna chahti thi.
Par jab uske parents aur mere parents ko pata chali ki woh maa banne wali hai toh unhone use samjhaya aur abortion na karne ke liye force kiya. Unke dawab main aakar alka ne Anushka ko janam to de diya par woh iski maa na ban saki. Anushka ke baad woh apne aap ko bandha-bandha sa feel karne lagi. Uski aajadi chin gayi thi. Woh Anushka ka bilkul bhi khyal nahi rakhti thi. Aur pahle se bhi jyada chid chidi ho gayi thi.
Hammare jagde aur badne lage. Aur alka ne mujhe divorce ki maang kar di maine divorce ki shart rakhi ki Anushka mere paas rahegi. Alka khusi- khusi tyar ho gayi. Maine use divorce de diya aur Anushka mujhe mil gayi. Main apni family aur Anushka ke saath bahut khus tha. Isi dauran meri transfer ho gayi aur mujhe yahan bengalore aana pada. Anushka mere baigair nahi rahti isliye main use lekar yahan chala aaya. Aaj Ishita ko pata chala ki Paarth ke hanste hue chehre ke peech kitne gham chupe hain.
Ishita ko ab Paarth se kuch sahnubhuti si ho gayi thi. Ab woh kabhi-kabhi Anushka se milne Paarth ke ghar bhi chali jaati thi. Dheere-dheere Anushka bhi Ishita ke najdeek aa gayi aur Ishita ko pasand karne lagi. Paarth ko Ishita ka Anushka ke saath khelna aur milna julna bahut achcha lagta tha. Ab Ishita aur Paarth ek doosreko chaah ne lage they. Par koi bhi kadam aage badane se dar raha tha. Ishita ko apne nusk ke baare main pata tha aur Paarth ye jaanta tha ki woh ek talaksuda aur ek bachche ka baap hai. Use Ishita ke baare ke baare main nahi sochna chahiye.
Ek baar Paarth ko kisi urgent kaam se do-teen din ke liye doosre shahar jana pada. Woh Anushka ko saath le ja nahi sakta tha aise main usne Ishita se madad maangi aur kaha ki uske peeche agar woh Anushka ka dyan rakh sake toh. Waise toh ghar main uski aaya hai par fir bhi kisi aur ka hona bhi jaroori hai. Ishita ne kaha ki tum befikar ho kar jao main sambhal loongi.
Paarth ne Anushka ko samjhaya ki papa ko kisi kaam se bahar jaana hai agar aap ko kuch kaam ho toh aunty ko phone karke kah sakti ho. Ab toh aunty aap ki dost ban gayi hain. Anushka ne kaha thik hai. Paarth chala gaya. Jab apna kaam khatam karke do din ke baad wapas aaya toh Ishita wahin thi. Paarth ko iss dauran Anushka se baat karne ka time nahi mil paya tha. Usne ek do baar aaya se baat kit hi, par Ishita ne aaya ko batane ke liye mana kar diya tha isliye usne kuch nahi kaha. Ek do baar Ishita se bhi baat hui toh usne kaha ki tum chinta mat karo Anushka bilkul thik hai.
Paarth jab ghar lauta toh Ishita ko ghar main dekh kar use bahut khushi hui. Ishita ne kaha ki chalo ab tum aa gaye ho toh main chalti hoon. Tabhi Anushka ne Ishita ka haath pakad liya aur rote hue boli aunty kya aap hamesha ke liye hamaare saath nahi rah sakti. Ishita Paarth ki ore dekhne lagi. Paarth Anushka ke aankho main aanshu dekh kar apne aap ko rok na saka aur bola ki Ishita kya tum meri jindagi main pahle nahi aa sakt thi. Ishita abhi tak jo samajh nahi paa rahi thi ki Paarth uske baare main kya soch ta hai. Usko apne sabhi sawalon ke jawab iss ek sawal main mil gaye.
Ishita boli ye sab upar wale ke haath main hota hai. Kis ko kab aur kahan milana hai ye usne pahle se soch kar rakha hai. Hamen abhi aur isi tarah milna tha uski shayd yahi niyati thi. Ye kahkar Ishita ne Anushka ko godh main utha liya aur Paarth ne Ishita aur anuskhka ko apni bhahoon main bhar liya. Aaj un dono ko apna sahi jeewan saathi aur Anushka ko maa mil gayi, jiski un teeno ko hamesah se chah thi.
*******
© Copyright 2012 manoj chamoli (manojchamoli at Writing.Com). All rights reserved.
Writing.Com, its affiliates and syndicates have been granted non-exclusive rights to display this work.
Printed from https://writing.com/main/view_item/item_id/1853058-Niyati