No ratings.
was written in Cyprus on MV Wise mariner......way to Alexandria Dec 1998 |
{{font:comic}c:lgreen}bahot din hue................ bahot din hue usne poocha tha mujhse kabhi chand taron ke par chalenge... bahot din hue usne poocha tha mujhse sitaron se aage jahan koun sa hai ..? bahot din hue usne poocha tha mujhse is pyar ki koun si kahkash.n (galexy)hai? bahot din hue usne poocha tha mujhse "mujhe chor doge to kya rah sakoge"..? n mai ji sakungi n tum mar sakoge jo mai n rahi to kya chal sakoge...? bahot din hue saneha(accident) ek hua hai wo chandi ka tukda falak par ja chupa hai bahot din hue wo ab bulati nahi hai n kuch poochti hai muskarati nahi hai wo jane se pahle kah kar gayi thi jara gham n karna pareesha.n n hona mai jaldi hi lautungi fir se milungi nayi faslo.n me fir se khilungi mujhe meri najro.n se fir jan loge fakat rooh ki khushboo se pahchan loge Aur ab....... barso.n kaate hai.n sadiyon se maine aek unra(age) umra bhar jagte hi kati hai wo chandi sa chehra gangajal si aankh.n khudaya miri rooh se kab hati hai.n bahot din hue kya bayaba.n kya sahra samandar samandar roundta ja raha hu.n yahan se wahan tak jaha.n tak bhi tu hai.. tujhe dhoondhta hun / dhoonta ja raha hu.n bahot din hue usne poocha tha mujhse ...... Kabhi chand taton ke paar chalenge..... kumar praveen 1998/cyprus |