Ye zindgi ka safar bhi kuch ajib sa hai,
Lagta iska har lamha manzil k karib sa hai
kabhi aanhko me nami,
kabhi hotho pe hansi,
Har aalam iska ek bahti hue nadi sa hai..
kuch Rishte tutte hai is safar me to
bante hai kuch khawab bhi naye
dekha bhi hai kuch cheharo ko
apni aankho ko aansuo se dhote hue.
ye har pal badalti waqt ki raftar sa hai
ye bhid me khoi ek lambi katar sa hai,,
yade kuch kho jati hai lamho me
lamhe kuch yad aate h yado me,
bate rah jati hai sawalo me,,.
kuch sawal kho jate hai jawabo me
ye har pal badlte mere hotho k geet sa hai
ye zindgi ka safar kuch ajib sa hai....
maloom nahi kaha tak hai rasta
phir bhi chalna to hai,
har kisi ko mujh se ,or mujhe unse
aage niklna to hai,,
ye kabhi kisi ki chikhti pukar sa hai
to kabhi kisi k sath chalne k intzar sa hai...
ye zindgi ka safar bhi kuch ajib sa hai
lagta iska har lamha manzil k karib sa hai......
All Writing.Com images are copyrighted and may not be copied / modified in any way. All other brand names & trademarks are owned by their respective companies.
Generated in 0.06 seconds at 8:04am on Jan 11, 2025 via server WEBX1.