Aatey jaatey yunhi bas khyal ata hai.
Dil, jism, dimaag aur jaan ki alag paribhasha hai.
Dard bhi ek tarah ka nahi paya jata,
Seene ka dil jism mein gina nahi jata,
Aatma dikhti nahi thi, mehsoos honi bhi band ho gayi,
Meri zindagi yunhi bikhar kar reh gayi,
Ab chalein hai alah wapis khud ko paane,
Suno chahein kidhar hi, nahi sunte wo puraane gaane.
Bas ek chehra raat-din satata hai,
Andhere mein bhi dikh jata hai,
Jis ada pe diwana fira, us ada ne maar dala,
Deewanapan is kadar sama gaya,
Mera jeene ka andaz hi badal dala.
Bas ek khwaish abhi bhi dil mein aag ki tarah tapti hai,
Jaane ki wo aaj kal kya karti hai,
Mera pyaar itni tha kamzor ki wo hafton mein bhool gayi,
Dil to toota hi tha, jism aur aatma bhi choor hui.
Ab us se door rehna hi thik lagta hai,
Par is khwaish ki aag se kon bach sakta hai.
Har chehre mein chah hai us chehre ki,
Dimaag koshish karke kehta hai thehro bhi.
Abhi bahot aagey jaana hai, kismat fir tumhe milwayegi,
Isi asha mein asha hai zindagi yunhi kat jayegi.
All Writing.Com images are copyrighted and may not be copied / modified in any way. All other brand names & trademarks are owned by their respective companies.
Generated in 0.08 seconds at 11:39am on Nov 25, 2024 via server WEBX2.