Kuch lamhe, kuch pal, kuch yaadein,
Kuch khamoshi, kuch ishaare, kuch baatein,
Rehti hai sada iss dil ki dehleezon par,
Yaad aaye har pal- din ho ya raatein!
Kuch khatte, kuch kadve, kuch meethe,
Iss zindagi mein har tarah ke pal hai beete,
Har pal hum rahe udaas ya khush,
Kabhi udaaye holi ke rang kabhi baarish ki cheete!
Zindagi mein aaye kabhi khushiyaan kabhi gam,
Magar seh-ladhkar nikle hai hum,
Beete huye lamhe yaad karte hi,
Apne-aap aankhe ho jaati hai nam!
Kabhi kisise ki nafrat, toh kabhi kisise pyaar,
Har pal banaate rahe naye yaar,
Kabhi lagta tha ki hum udaasi la rahe hai,
Kabhi lagta ki le aaye hum khushiyan hazaar!
Pyaar toh pyaar tha, khuda ki rehmat,
Dushmani se kabhi na the hum sehmat,
Kabhi badhti uljhan, toh kabhi khushiyaan,
Shikayat kisse karte, ye toh apni hi kismat!
Saaya toh tha hum par, kabhi acchai toh kabhi burai ka,
Asal baat toh ye hai, ki zamaana nahi bhalai ka,
Dil mein hote hai itne dard pyaar ke,
Ki asar hi nahi hota kisi bhi dawai ka!
All Writing.Com images are copyrighted and may not be copied / modified in any way. All other brand names & trademarks are owned by their respective companies.
Generated in 0.07 seconds at 8:46am on Nov 25, 2024 via server WEBX1.