Small story |
Hello friends, Hame kyu lagta he galati dikhane wala & sujav dene wale hum se jalte he, Ya hame nicha dikha na chahte he, ya acha dekh nai sakte, ya hamara fayda utha raha he. aur isi soch ke chalte ham apne aap se naraz ho ke khud ko koshish karne se rok dete he. Ya us insan se dur rahena chahate he. aur aise karne se kya hota he. Ek murtikar(sculptor) bahot hi shaandar murti(sculpture) banata tha. Log uski banayi hui murti lene dur daraz gaav se ate the. Log unki banayi murti ki jee bhar ke tariff karte the. Yeh dekh murtikar ke bete ne bhi socha wo papa jaise murti banayega. Ek din wo bacha ek sundar si murti Bana ke papa ko dikhane le aya. Papa ne murti dekh ke use kuch sujav diye & sudhar karne ko kaha. Thode din baad beta wapas murti me sudhar kar ke papa ko murti dikhane leke aya. Fir se papa ne use thoda sudhar ka sujav diya "ye aise karo. Ise aise hona chahiye." Etc etc. Beta thoda vapas gaya n thode din baad wapas kahe gaye sudhar kar ke leke aya. Ab ki baar use yakin tha ki papa murti dekh ke bahot tarif karege. Par fir se papa ne Wahi dohraya. 5-6 baar aise honese bete ko aya gussa & murti ko jamin me khada kar ke gad diya. Kuch hafte baad beta wahi murti gadhe se nikal ke papa ko dikha ne leke aya. Aur papa ko aake kaha, "dekho papa mere dost ne ye murti banayi he. kaisi he?" Papa ne dekh ke kaha "wah!! sundar kitni achi murti banayi he." Beta haste huve kaheta he, "Ye wahi murti he jise me apko dikhane leke aya karta tha Aur aap galati hi nikalte the." Usi samay papa ne udas hoke kaha, 'beta ab tum kabhi isse achi murti nai bana sakte. Kyu ki ab tumne maan Liya ki tumhari banayi murti bahot achi he." Dosto ye sach he ki sabhi log hamara progress ho aisa nai sochte. Par hame itna to pata hona chahiye & shayad pata hota bhi he, ki koi to he jo hamara aur jyada progress dekhna chahta he. Phir bhale hi wo bhai, bahen, mom, dad, wife, ya dost ho. Ya status me, level me, age me hamse chota ho. Sabhi ke life me aisa kam se kam ek insan to hota he. Shayad hamne use bhala bura kaheke duri banalo ho. Agar he to PlZ comment me share kariye kon he wo... & Tell him or her thanks after reading this. |